Urdu Shayari

Urdu Shayari - A large collection of Urdu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Urdu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Urdu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Urdu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Urdu Shayari

Showing Urdu Shayari 51 - 60 of 265, Page 6 of 27 pages.

Meri teri nigah mein jo lakh intazar hain
jo mere tere tan badan mein lakh dil figar hain
jo meri teri ungaliyon ke behisi se sab qalam nazar hain
jo mere tere shahar ke har ik gali mein
mere tere naqsh-e-pa ke be-nishan mazar hain
jo meri teri raat ke sitare zakhm zakhm hain
jo meri teri subah ke gulab chak chak hain
ye zakhm sare be-dava ye chak sare be-rafu
kisi pe rakh chand ke kisi pe os ka lahu
ye hain bhi ya nahi bata
ye hai ki mahaz jal hai
mere tumhare ankabut-e-vaham ka buna hua
jo hai to is ka kya karen
nahi hai to bhi kya karen
bata, bata, bata, bata

 0 People liked it
0 Ratings

Chand nikale kisi janib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka
daulat-e-lab se phir ae khusrav-e-shirin-dahan
aj riza ho koi harf shanasai ka
dida-o-dil ko sambhalo ki sar-e-sham-e-firaq
saz-o-saman baham pahuncha hai rusvai ka

 0 People liked it
0 Ratings

Wafa ke bhes mein koi raqib-e-shahar bhi hai
hazar! ke shahar ke qatil tabib-e-shahar bhi hai
wohi sipah-e-sitam khemazan hai charon taraf
jo mere bakht mein tha ab nasib-e-shahar bhi hai
udhar ke aag idhar bhi pahunch na jaye kaheen
hawa bhi tez hai jangal qarib-e-shahar bhi hai
ab us ke hijr mein rote hain us ke ghayal bhi
khabar na thi ke wo zalim habib-e-shahar bhi hai
ye raz nara-e-mansur hi se hum pe khula
ke chub-e-mimbar-e-masjid salib-e-shahar bhi hai
kadi hai jang ke ab ke muqabile pe ‘faraz'
amir-e-shahar bhi hai aur khatib-e-shahar bhi hai

 0 People liked it
0 Ratings

Chand ke sath kai dard purane nikale
kitane gam the jo tere gam ke bahane nikale
fasl-e gul aayi phir ik bar asiran-e-vafa
apne hi khun ke dariya mein nahane nikale
hijr ki chot ajab sang-shikan hoti hai
dil ke befaiz zaminon se khazane nikale
umr guzari hai shab-e-tar mein aankhen malate
kis ufaq se mera khurshid na jane nikale
ku-e-qatil mein chale jaise shahidon ka julus
khvab yun bhigati aankhon ko sajane nikale
dil ne ik int se tamir kiya taj mahal
tu ne ik bat kahi lakh fasane nikale
dasht-e tanhai-e-hijran mein khada sochata hun
haye kya log mera sath nibhane nikale
main ne ‘amjad' use bevasta dekha hi nahi
wo to khushbu mein bhi aahat ke bahane nikale

 0 People liked it
0 Ratings

Haraa Hai Abhi Zakhm-E-Taalluq Dil Ka
Gire Jo Sailaab-E-Lahoo-E-Ashq Daman Pe Mera
Dekhi Ek Woh Zalak Unki Andaaz-E-Tabassum Liye
Uske Altaaf Ka Mafhoom Hum Pyar Ka Andaz Jo Samaje
Tamanna-E-Dil Woh Milae Muje Safar Mein Kahin
Chahe Milae Muje ‘Sheikh’ Woh Bewafa Bankar Hi Sahi.

 0 People liked it
0 Ratings

Kya umeed kare hum un se jin ko wafa malum nahi
gham dena malum hai lekin gham ke dawa malum nahi
jin ke gali mein umr ganva di jivan bhar hairan rahe
pas bhi aake pas na aaye jan ke bhi anjan rahe
kon si aakhir ke thi hum ne aisi khata malum nahi
ae mere pagal armanon jhuthe bandhan tod bhi do
ae meri zakhmi ummidon dil ka daman chod bhi do
tum ko abhi is nagari mein jine ke saza malum nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Thodi-Thodi Sanso K Liye,Humne Zindagi Bechi,
Parchhaiyon Se Tang Aa K,Humne Roshni Bechi,
Aankho Mein Bas Aansu Hi Reh Gaye,
Varna Duniawalon Ne To Dosti Bhi Bechi

 0 People liked it
0 Ratings

Tanhai Iss Tarah Barsi
Ke Gham-E-Ishq Mein Jam-E-Sharab Pee Gaya

Tere Intezar Mein Arsa-E-Hastee
Gard-E-Gham Taras Khaa Ke Pee Gayaa

Dil Kii Dharkan Mein Teri Yaadein Bikhar Gayee
Bujh Gai Roshni Meri Jab Terii Raan’aaii Chali Gayii

Dil Ki Bebsi Meri Koi Tawaazun Na Rahi
Bhool Gaya Sara Jamana ‘Sheikh’ Woh Mujko Chhod Gayii

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Urdu Shayari 51 - 60 of 265, Page 6 of 27 pages.