Urdu Shayari

Urdu Shayari - A large collection of Urdu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Urdu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Urdu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Urdu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Urdu Shayari

Showing Urdu Shayari 61 - 70 of 265, Page 7 of 27 pages.

Vaada-E-Aitbar Kiya, Soz-E-Nihaa.N Dil Mera Tadap Utha
Intezaar Mei Bhiigii Mizhgaan, Dahaliiz Pe Teri Baitha
Tumhaare Tagaaful Mei Kasak Uthi, Khoob Beqaraar Sa Hua
Ke Ab Na Hosh Havaas Raha, Teri Tasveer Chumta Hi Raha

 0 People liked it
0 Ratings

Charag-o-aftab gum, badi hasin rat thi
shabab ke naqab gum, badi hasin rat thi
mujhe pila rahe the wo ki khud hi shamma bujh gayi
gilas gum sharab gum, badi hasin rat thi
likha hua tha jis kitab men, ki ishq to haram hai
hui vahi kitab gum, badi hasin rat thi
labon se lab jo mil gaye, labon se lab jo sil gaye
saval gum javab gum, badi hasin rat thi

 0 People liked it
0 Ratings

Chaader Pe Padi Ek Salwat He Zindagi
Kahin Dile-Dariya Kahin Khatpat Hai Zindagi

Kabhi Hasaati Hai Kabhi Rula Deti Hai
Sambhal Ke Chalna Badi Natkhat He Zindagi

Kabhi Yun Hi, Kabhi Bamushkil Milta Nahin Sakun
Jiyo To Hass Ke Jiyo Varna Marghat Hai Zindagi

Jise Dekhe Bina Na Kat-Ta Tha Ik Pal
Hui Shaadi Usi Se To Badi Jhanjat Hai Zindagi

Saawan Ki Bauchhaar Kabhi Jayeshth Ki Tapish
Gauri Se Ho Milan To Panghat Hai Zindagi

 0 People liked it
0 Ratings

Chehara mera tha nigahen us ke
khamushi mein bhi wo baten us ke
mere chehare pe gazal likhati gain
sher kahati hui aankhen us ke
shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ke
aise mausam bhi guzri hum ne
subahen jab apani thin shamen us ke
dhyan mein us ke ye aalam tha kabhi
aankh mahatab ke yaden us ke
faisala mauj-e-hava ne likkha
aandhiyan meri baharen us ke
nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ke
dur rah kar bhi sada rahati hai
mujh ko thame hue bahen us ke

 0 People liked it
0 Ratings


Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga..
Khudko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga..
Sounke Fasana Auro Se Merii Barbadi Ka..
Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga?

 0 People liked it
0 Ratings

Hai Abhi Baki Uski
Ulfat-E-Nigha Ki Talab Mujhe
Jhoomti Rahi Dilruba Meri
Ajnabi Baahon Ke Halqe Mein Lachakti.

Sulagte Aansu Mein Doobi
Iss Aankon Mein Taab-E-Nazar Hai Abhi
Kaise Doon Use Ye Ilzam-E Bewafai
Ke Khayee Thi Kasam Usne Rooh Ki Meri.

Shoq-E-Aziyaat Taqdeer Meri
Sulagti Dhuein Mein Udi
Guzara Mein ‘Sheikh’ Ab Alvida
Sarhad-E-Marg-E-Musalsal Sahi.

 0 People liked it
0 Ratings

Hum Woh Hasti Hai Be_Wajood
Dil-E-Dehliz Se Nikale Gayae
Bhejoge Lakh Tum Salam-E-Ishq
Furqat-E-Gum Hamara Azal-E-Alvida Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Gulashan ke faqat phoolon se nahi kanton se bhi zinat hoti hai
jine ke liye is duniya mein gham ke bhi zarurat hoti hai
ae vaiz-e-nadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
yahan roz nigahen milati hain yahan roz qayamat hoti hai
wo purasish-e-gam ko aaye hain kuch kah na sakun chup rah na sakun
kamosh rahun to mushkil hai kah dun to shikayat hoti hai
karana hi padega zabt-e-alam pine hi padenge yah aansu
fariyad-o-fugan se ae nadan tauhin-e-mohabbat hoti hai
jo aake ruke daman pe ‘saba' wo ashq nahi hain pani hai
jo aansu na chalake aankhon se us ashq ke qimat hoti hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Urdu Shayari 61 - 70 of 265, Page 7 of 27 pages.