Yaad Shayari

Yaad Shayari - A large collection of Yaad Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Yaad Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Yaad Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Yaad Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Yaad Shayari

Showing Yaad Shayari 111 - 120 of 517, Page 12 of 52 pages.

Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha,Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai
Tum Door Huvey Majboori Mein,Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana,Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai
Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa
Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha,Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai
Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein,Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha,Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai
Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna,Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha,Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Naksh Kuch Mitte Rahe Kuch Sooratein Banti Raheen
Ranj Ki Beshi Kabhie Se Raahatein Banti Raheen
Mera Sarmaayaa Umeedon Ke Sivaa Kuch Bhi Na Thaa
Kuch To Yaadein Ban Gayeen Kuch Hasratein Banti Raheen

 0 People liked it
0 Ratings

Har Suba Teri Muskurati Rahe
Har Shaam Teri Gungunati Rahe
Tu Jisay Bhi Mile Is Tarhan Se Mile
K Har Milne Wale Ko Teri Yad Aati Rahe

 0 People liked it
0 Ratings

Bahut Khushnooma Kal Ki Raat Guzri Hai
Kuch Tanha Par Kuch Khaas Guzri Hai
Na Neend Aayi Na Khwaab Koi
Bas Aap Hi Ke Khayalon Ke Saath Guzri Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Yaad Karta Hoon Tumhe Yaad Aati Hi Nai
Kaise Aayae Woh Cheez Jo Jaati Hi Nah

 0 People liked it
0 Ratings

Ek sham kisi bazm mein jute jo kho gaye
hum ne kaha bataiye ghar kaise jayenge
kahane lage ki sher sunate raho yun hi
ginate nahi banenge abhi itane aayenge
Poet of the poem/ghazal or Nazam:  Saghar Khayyami

 0 People liked it
0 Ratings

Yun teri nigahon se gila kuch bhi nahi tha
is dil ne to bekar yun hi baithe bithaye
virani-e-lamhat ko bahalane ki khatir
afsane gadhe baten bana li thin hazaron
ye ishq ka afsana jo phir cheda hai tu ne
bekar hai ab waqt kahan us ko sunun main
jab tum ko faragat na thi ab mujh ko nahi hai

 0 People liked it
0 Ratings

Diwane Ham Tujhe B Bana Denge
Dil Me Tere Pyar Ki Shama Jala Denge
Bano Chahe Pathar Dil Jitna B Aap
Yadon Se Apni Tujko B Rula Denge

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Yaad Shayari 111 - 120 of 517, Page 12 of 52 pages.