Yaad Shayari

Yaad Shayari - A large collection of Yaad Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Yaad Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Yaad Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Yaad Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Yaad Shayari

Showing Yaad Shayari 141 - 150 of 517, Page 15 of 52 pages.

Koi Paas Aaya Savere Savere
Mujhe Aazamaayaa Savere Savere
Merii Daastaaan Ko Zaraa Saa Badal Kar
Mujhe Hii Sunaayaa Savere Savere
Jo Kahataa Thaa Kal Shab Sanbhalanaa Sanbhalanaa
Vohii Larkharaayaa Savere Savere
Katii Raat Saarii Merii Mayakade Main
Khudaa Yaad Aayaa Savere Savere

 0 People liked it
0 Ratings

Kabhi Yaad Aao To Iss Terha
Ke Lahoo Ki Saari Tamazatein
Tumhein Dhoop Dhoop Samait Lein
Tumhein Rung Rung Nikhaar Dein
Tumhein Harf Harf Mein Soch Dein
Ke Deyaar-E Hijer Ki Teergi
Ko Palak Ki Nok Se Noch Lein..
Kabhi Yaad Aao To Iss Terha !!!
Ke Dil-O-Nazar Mein Sama Sako
Kabhi Khul Sako Shab-E-Visel Mein
Kabhi Khoon-E-Dil Mein Sanwar Sako
Kabhi Had Se Jab Yeh Junoon Berhay
To Hawas Bun Ke Bikher Sako
Sir-E-Rahguzar Jo Milo Kabhi
Na Teher Sako Na Guzer Sako
Mera Dard Phir Se Ghazal Banay
Kabhi Gungunaao To Is Terha
Meray Zakhm Phir Se Gulaab Hon
Kabhi Muskuraao To Is Terha
Meri Dharkanein Bhi Laraz Uthein
Kabhi **Tum** Khaao To Is Terha
Jo Nahin To Phir Baray Shoq Se
Sabhi Rabtay Sabhi Zabtay
Kabhi Dhoop Chaaon Mein Tor Do
Na Shikast-E-Dil Ka Sitam Kaho
Na Suno Kisi Ka Azab-E-Jaan
Na Kisi Se Dil Ki Galish Kaho
Yun Hi Khush Raho Yun Hi Khush Phiro
Na Ujer Sakein Na Sanwar Sakein
Kabhi Dil Dukhaao To Is Terha
Na Simat Sakein Na Bikher Sakein
Kabhi Bhool Jao To Is Terha
Kisi Tor Jaan Se Guzer Sakein
Kabhi Yaad Aao To Iss Terha !!!

 0 People liked it
0 Ratings

Aaya tha ghar sanvarane ehasan kar gaya
barbadiyon ka aur bhi saman kar gaya
ab tak rahi us ke yaad meri zindagi ke sath
do char pal ke mujh se jo pehchan kar gaya
aankhon ne jis ke shauq mein raten sajai thin
khvabon ke anjuman wohi viran kar gaya
jhonka nasim-e-subah ka aaya to tha magar
gulshan ke har kali ko pareshan kar gaya

 0 People liked it
0 Ratings

Qisse teri nazar ne sunaye na phir kabhi
hum ne bhi dil ke daag dikhaye na phir kabhi
ae yad-e-dost aj tu jee bhar ke dil dukha
shayad ye raat hijr ke aaye na phir kabhi

 0 People liked it
0 Ratings

Gajara bana ki le aa malaniya
wo aaye hain ghar mein hamare
der na ab tu laga
sara chaman ho jinaka divana
aisi kaliyan chun ki la
lali ho jin mein un ki labon ki
un ko piro ki le aa
jo bhi dekhe un ki surat
jhuki jhuki ankhiyon se pyar kare
chanda jaisa rup hai un ka
aankhon mein ras hai bhara

 1 People liked it
0 Ratings

Khyalon Ko Kisi Ki Aas Rahti Hai ,
Nigahon Ko Teri Talash Rahti Hai ,
Tere Bina Koi Kami Nahi Hai ,Lekin ,
Tere Bagair Tabiyat Udas Rahti Hai !

 0 People liked it
0 Ratings

Tanha Ho Kabhi Tu Mujh Ko Dhoondna
Duniya Say Nahin Apnay Dil Say Poochna
Aas Paas Hi Kahin Basay Rehtay Hain Hum
Yaadon Say Nahin Sath Guzaray Lamho Say Poochna

 0 People liked it
0 Ratings

Jab Bichar Kar Tere Is Dil Se Chala Jaonga,
Dil Ko Seney Main Na Paogi To Yaad Aaonga,
Aonga Chupky Se Khawabon Main Jo Tere Aksar,
Phir Jo Sotey Mai Hi Hansdogi To Yaad Aonga,
Meri Masom Mohobbat Ko Bhula Ker Jab Tum,
Phir Kisi Aur Ko Chahogi To Yaad Aongaa,
Dosto Ki Kisi Mehfil Mein Baton Baton Mein,
Jab Kisi Baat Pe Roothogi To Yaad Aongaa,
Meri Tasveer Ko Ankhon Mein Chupaney Ke Liye,
Apney Ashko Sey Mitaogi To Yaad Aonga,
Rat San’natay Mai Kamrey Ki Khuli Khirki Sey,
Hansty Ek Chand Ko Dekhogi To Yaad Aonga,
Khak Sey Lipti Kitaboo Ke Har Ek Kaghaz Par,
Naam Likha Mera Dekhogi To Yaad Aongaa,
Ab Jo Har Ek Khushi Mujhko Suna Ney Ke Liye,
Door Tak Mujh Ko Na Paogi To Yaad Aonga,
Neely Kaprey Jo Pehan Kar Tum Khuly Baalo Ko,
Khud Hi Hatho Sey Sanwarogi To Yaad Aonga,
Yaad Karty Hui Ye Sans Jo Tooteygi Meri,
Phir Meri Kabar Pa Aogi To Yaad Aongaa,
Tere Hi Nam Se Likhta Tha Main Sari Ghazal,
Ab Jo Parhtey Huey Row Dogi To Yaad Aongaa.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Yaad Shayari 141 - 150 of 517, Page 15 of 52 pages.