Yaad Shayari

Yaad Shayari - A large collection of Yaad Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Yaad Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Yaad Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Yaad Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Yaad Shayari

Showing Yaad Shayari 181 - 190 of 517, Page 19 of 52 pages.

Chale Gaye Ho Door Kuch Pal Ke Liye
Door Reh Kar B Ho Qareeb Har Pal Ke Lye
Kaise Yaad Na Aye Apki Ek Ek Pal K Liye
Jab Dil May Ho Ap Har Pal Ke Leye

 0 People liked it
0 Ratings

Guzare Huve Kal Ki Yaad Aati Hai,
Kuch Lamhon Se Aankhen Bhar Aati Hain,
Woh Subah Rangeen Shaam Nirali Doob Jati Hain,
Jab Aap Jaise Doston Ki Yaad Aati Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Mujhay Fursat Hi Fursat Ha
Mujhay Fursat Hi Fursat Ha
Saweirey Jald Uthna Ha
Na Shab Ko Deir Se Sona
Kahein Baahir Nahi Jana
Kisi Se Bhi Nahi Milna
Na Koi Fikr Laahaq Ha
Na Koi Yaad Baaqi Ha
Magar Ye Aakhri Misraa
Zara Sa Jhoot Lagta Hai!!

 0 People liked it
0 Ratings

Go zara si baat par barason ke yarane gaye
lekin itna to hua kuch log pahachane gaye
garmi-e-mahafil faqat ik nara-e-mastana hai
aur wo khush hain ki is lahafil se divane gaye
main ise shoharat kahun ya apni ruswai kahun
mujhase pahale us gali mein mere afasane gaye
yun to wo meri rag-e-jan se bhi the nazadik tar
aansuon ke dhundh mein lekin na pahachane gaye
vahashaten kuch is tarah apana muqadar ho gain
hum jahan pahunche hamare sath virane gaye
ab bhi un yadon ke khushbu zehan mein mahafus hai
barha hum jin se gulazaron ko mahakane gaye
kya qayamat hai ki ‘khatir' kushta-e-shab bhi the hum
subh jab hui to mujarim hum hi gardane gaye

 0 People liked it
0 Ratings

Aziz itna hi rakho ke jee sanbhal jaye
ab is qadar bhi na chaho ke dam nikal jaye
mile hain yun to bahut aao ab milen yun bhi
ke ruh garmi-e-anfas se pighal jaye
muhabbaton mein ajab hai dilon ko dhadaka sa
ke jane kon kahan rasta badal jaye
rahe wo dil jo tamanna-e-taza tar mein rahe
khusha wo umr jo khvabon hi mein bahal jaye
main wo charag-e-sar-e-rahaguzar-e-duniya hun
jo apani zat ke tanhaiyon mein jal jaye
har ek lahaja yahi aarazu yahi hasrat
jo aag dil mein hai wo sher mein bhi dhal jaye

 0 People liked it
0 Ratings

Apne Dil Ki Sun Afwahon Se Kaam Na Le
Mujhe Yad Rakh Beshak Naam Na Le
Tera Veham Hai K Hum Bhool Gaye Tujhe
Meri Koi Aisi Saans Nai Jo Tera Naam Na Le

 0 People liked it
0 Ratings

Tumhen jafa se na yun baz aana chahiye tha
abhi kuch aur mera dil dukhana chahiye tha
tavil raat ke pehlu mein kab se soi hai
navid-e-subah tujhe jag jana chahiye tha
bahut qallaq hua hairat gazida tufan ko
ke kon dube kinhen dub jana chahiye tha
bujhe chiragon mein kitne hain jo jale hi nahi
savad-e-vaqt inhen jagamagana chahiye tha
ajab na tha ke qafas sath leke ud jate
tadapana chahiye tha phadaphadhana chahiye tha
ye meri har ke kar-e-janan se hara magar
bichadane wale tujhe yaad aana chahiye tha
taman umr ke aasurdagi-e-vasl ke bad
firaq aakhiri dhoka tha khana chahiye tha

 0 People liked it
0 Ratings

Hassi Ne Labon Pe Thirakna Chod Diya Hai
Khwabon Ne Palkon Pe Aana Chod Diya Hai
Nahi Aati Ab To Hichkiyaan Bhi
Shayad Aap Ne Bhi Yaad Karna Chod Diya Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Yaad Shayari 181 - 190 of 517, Page 19 of 52 pages.