Yaad Shayari

Yaad Shayari - A large collection of Yaad Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Yaad Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Yaad Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Yaad Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Yaad Shayari

Showing Yaad Shayari 261 - 270 of 517, Page 27 of 52 pages.

Yaad Aate Hain Wo School Ke Din
Na Jaate The School Doshton Ke Bin
Kaisi Wo Doshti Thi Kaisa Tha Wo Pyar
Ek Din Ki Judai Se Darte The Jab Aata Tha Saniwar
Chalte Chalte Pathron Main Marte The Thokar
Kabhi Hashte Gaate To Kabhi Chalte The Rokar
Kandhon Main Keetab Liye Haath Main Botel Paani
Kise Pata Tha Bachpan Ki Doshti Bichhura Degi Jawaani
Yaad Aate Hain Wo Shayahi Se Range Haath
Kaya Din The Wo Jab Karte The Lunch Saath
Chhutti Ki Ghanti Sunte Hi Wo Bhag Ke Kamre Se Bahar Aana
Fir Hashte Hashte Doshton Se Mil Jaana
Kaash Wo Dosht Aaj Bhi Mil Jaate
Dil Main Fir Se Bachpan Ke Phool Khil Jaate

 0 People liked it
0 Ratings

Go sab ko ba-ham sagar-o-bada to nahi tha
ye shahar udas itna ziyada to nahi tha
waiz se rah-o-rasm rahi rind se sohabat
farq in mein koi itna ziyada to nahi tha
thak kar yun hi pal bhar ke liye aankh lagi thi
so kar hi na utthen ye irada to nahi tha

 0 People liked it
0 Ratings

Jahan phoolon ko khilana tha waheen khilate to acha tha
tumhin ko hum ne chaha tha tumhin milate to acha tha
koi aakar hamen puche tumhen kaise bhulaya hai
tumhare khat ko ashkon se shab-e-gam mein jalaya hai
hazaron zakhm aise hain agar silate to acha tha
tumhen jitana bhulaya hai tumhari yaad aayi hai
bahar-e-nau jo aayi hai wo hi khushbu lai hai
tumhare lab meri khatir agar hilate to acha tha
mila hai lutf bhi hum ko hasin yadon ke jhil-mil mein
katati hai zindagi tum bin magar itni si hai dil mein
agar tum aate to acha tha agar milate to acha tha

 0 People liked it
0 Ratings

Ae Jaan Meri Yaado Ko Tu Dil Main Basa Lena
Badnam Na Ho Ashu Daman Main Chupa Lena
Main Yaad Agar Aau To Bharna Na Kabhi
Aahe Tu Meri Nishani Ko Seena Se Laga Lena

 0 People liked it
0 Ratings

Tamannao Ki Dunya Mein Udaassi Chahne Lagti Hai
Koi Bhooli Hui Daastaaan Jab Yaad Aaney Lagti Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Payam aaye hain us yar-e-bevafa ke mujhe
jise qarar na aaya kaheen bhula ke mujhe
nashe se kahun to nahi yad-e-yar ka aalam
ke le uda hai koi dosh par hawa ke mujhe
judaiyan hon to aisi ki umr bhar na mile
fareb to do zara silsile bada ke mujhe
main khud ko bhool chuka tha magar jahan wale
udas chod gaye aaina dikhake mujhe

 0 People liked it
0 Ratings

Tanhai bas gayi thi aur bas gayi thi khamoshi;
Ho agar samne to chhayi rehti thi madhoshi;
Wo lamhe bhi kitne haseen gujre the kabhi;
Aaj door hai wo mujhse kise bana dun main iska doshi.

 0 People liked it
0 Ratings

Jab bhi nazm-e-maikada badala gaya
ek na ek jam-e-hasin toda gaya
jab safina mauj se takra gaya
nakhuda ko bhi khuda yaad aa gaya
main ne cheda qissa-e-jaur-e-falak
jane q un ko pasina aa gaya
dekh kar un ke jafaon ka khulus
main wafa ke naam par sharma gaya
aap ab aayen hain aansu ponchane
jab mere daman pe dhabba aa gaya

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Yaad Shayari 261 - 270 of 517, Page 27 of 52 pages.