Yaad Shayari

Yaad Shayari - A large collection of Yaad Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Yaad Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Yaad Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Yaad Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Yaad Shayari

Showing Yaad Shayari 401 - 410 of 517, Page 41 of 52 pages.

Mat Poocho Ke, Kitna Aapko Yaad Karte Hai
Itna Ke, Har Saans Ke Bad Karte Hai…
Kisi Din Lekar Aaye, Tumhe Hamare Samne
Bas Yahi Khudha Se, Fariyad Karte Hai…

 0 People liked it
0 Ratings

Yaad Sms Shayari in Hindi
Lamho Me Shaam Dhal Jayegi
Lamho Me Rat Guzar Jayegi
Har Lamha Hum Tumhe Yaad Karenge
Aur Yaadgaar Lamho Mein Tumhe
Hamari Hi Yaad Aayegi..

 0 People liked it
0 Ratings

Gaye dinon ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo
ajeeb manus ajanabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
khushi ki rut ho ki gham ka mausum nazar use dhundhati hai har dam
wo bu-e-gul tha ki nagma-e-jan mere to dil mein utar gaya wo
wo maikade ko jaganevala wo raat ki neend udanevala
na jane kya us ki jee mein aayi ki sham hote hi ghar gaya wo
kuch ab sambhalane lagi hai jan bhi badal chala rang aasman bhi
jo raat bhari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya wo
shikastapa rah mein khada hun gaye dinon ko bula raha hun
jo qafila mera hamsafar tha misl-e-gard-e-safar gaya wo
bas ek manzil hai bulhavas ki hazar raste hain ahal-e-dil ki
ye hi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wo
wo jis ki shane pe hath rakh kar safar kiya tune mannzilon ka
teri gali se na jane q aj sar jhukaye guzar gaya wo
wo hijr ki raat ka sitara wo hamnafas hamsukhan hamara
sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya wo
bas ek moti si chab dikhakar bas ek mithi si dhun suna kar
sitara-e-sham ban ki aaya barang-e-khayal-e-sahar gaya wo
na ab wo yadon ka chadhata dariya na fursaton ki udas barkha
yun hi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gahara tha bhar gaya wo
wo raat ka benava musafir wo tera shayar wo tera ‘nasir'
teri gali tak to hum ne dekha phir na jane kidhar gaya wo

 0 People liked it
0 Ratings

Yahan se ab kaheen le chal khayal-e-yar mujhe
chaman mein ras na aayegi ye bahar mujhe
teri latif nigahon ke khas jumbish ne
bana diya teri fitarat ka razadar mujhe
meri hayat ka anjam aur kuch hota
jo aap kahate kabhi apna jan-nisar mujhe
badal diya hai nigahon ne rukh zamane ka
kabhi raha hai zamane pe ikhtiyar mujhe
ye hadasat jo hain iztarab ka paigam
ye hadasat hi aayenge sazagar mujhe
‘aziz' ahal-e-chaman ke shikayat besud
fareb de gai rangini-e-bahar mujhe

 0 People liked it
0 Ratings

Kya khabar thi is tarah se wo juda ho jayega
khwab mein bhi us ka milana khwab sa ho jayega
zindagi thi qaid hamen kya nikaloge us se
maut jab aa jayegi to khud riha ho jayega
dost banakar us ko chaha, ye kabhi socha na tha
dosti hi dosti mein wo khuda ho jayega
us ka jalva hoga kya jisaka ke parda nur hai
jo bhi us ko dekh lega wo fida ho jayega
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Rustom Sehgal Wafa

 0 People liked it
0 Ratings

Suraj Paas Ho Na Ho Roshni Aas Paas Rehti Hai,
Dost Paas Ho Na Ho, Dosti Aaspaas Rehti Hai,
Waise Hi Aap Paas Ho Na Ho Aapki
Yaadein Hamesha Paas Rehti Ha

 0 People liked it
0 Ratings

Ek Tu Teri Awaaz Yaad Ayegi
Teri Kahi Hui Har Baat Yaad Ayegi
Din Dhal Jayega Raat Yaad Ayegi
Har Lamha Pehli Mulaqaat Yaad Aayegi

 0 People liked it
0 Ratings

Yaad Aaoonga
Har Us Lamhe Me Yaad Aaoonga
Jab Tum Tanhayee Me Roya Karogi
Jagte Jagte Thak Kar Soya Karogi
Ankh Ke Band Hote Hi Yaad Aaoonag
Jab Kisi Chahane Wale Ki Taraf
Dekhogi To Yaad Aaoonga
Kisi Mohhabath Karnewale Ko Dekhogi
To Yaad Aaoonga
Saans Jab Tak Chalegi Tumhari Tab Tak Bhi
Yaad Aaoonga

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Yaad Shayari 401 - 410 of 517, Page 41 of 52 pages.