Yaad Shayari

Yaad Shayari - A large collection of Yaad Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Yaad Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Yaad Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Yaad Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Yaad Shayari

Showing Yaad Shayari 471 - 480 of 517, Page 48 of 52 pages.

Tadap Uthoge Jab Hum Yaad Aayenge
Dhoondhoge Hume Jab Hum Dur Chale Jaayenge
Humaari Yaadon Ke Nishan Dil Me Paayoge
Jab Tumhari Dhadkano Me Hum Chupp Kar Muskuraayenge

 0 People liked it
1 Ratings

Aaapke intezzar mein palkein bichaye baithe hain
Jaane kab aaoge tum par aaoge tum ye umeed lagaye baithe hain
Jab bhi aaoge dil par dastak jaroor hogi hamare
Bas isi ke intezaar ,ein dil par haath lagaye baithe hain !!!!!!!!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Kitni Jaldi Mulaqat Guzar Jaati Hai,
Pyaas Bujhti Nahin Barsat Guzar Jaati Hai.
Apni Yaadon Se Keh Do Is Tarah Naa Aaya Kare,
Neend Aati Nahi Aur Raat Guzar Jaati Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Tum Mera Aaj Ho, Tum Mera Kal
Tujay Yaad Karthay Hai Har Aik Pal
Jee Nahe Paiyain Gay Teray Bina Hum
Teray Bina Reh Jai Gay Adhuray Hum….
I Miss You

 0 People liked it
0 Ratings

Aankhen mujhe talvon se wo malane nahi dete
arman mere dil ka nikalne nahi dete
khatir se teri yaad ko talane nahi dete
sach hai ki hamin dil ko sanbhalane nahi dete
kis naz se kahate hain wo jhunjhala ke shab-e-vasl
tum to hamen karavat bhi badalne nahi dete
paravanon ne fanus ko dekha to ye bole
kyon hum ko jalate ho ki jalne nahi dete
hairan hun kis tarah karun arz-e-tamanna
dushman ko to pahalu se wo talane nahi dete
dil wo hai ki fariyad se labrez hai har waqt
hum wo hain ki kuch muh se nikalne nahi dete
garmi-e-mohabbat mein wo hai aah se mane'
pankha nafas-e-sard ka jhalane nahi dete
 

 0 People liked it
0 Ratings

Gurub-e-sham hi se khud ko yun mahasus karta hun
ki jaise ik diya hun aur hawa ke zad pe rakha hun
chamakati dhup tum apne hi daman mein na bhar lena
main sari raat pedon ke tarah barish mein bhiga hun
koi tuta hua rishta na daman se ulajh jaye
tumhare sath pahali bar bazaron mein nikala hun
ye kis aavaz ka bosa mere honton pe kanpa hai
main pichali shab sadaon ke halavat bhool baitha hun
bichad ke tum se main ne bhi koi sathi nahi dhundha
hujum-e-rahguzar mein dur tak dekho akela hun
Poet : Zubair Rizvi

 0 People liked it
0 Ratings

Firaq se bhi gaye hum visal se bhi gaye
subuk huye hain to aish-e-malal se bhi gaye
jo but-kade mein the wo sahiban-e-kashf-o-kamal
haram mein aaye tp kashf-o-kamal se bhi gaye
usi nigah ki narmi se dag-maga gaye qadam
usi nigah ki tevar sambhal se bhi gaye
gam-e-hayat-o-gam-e-dost ki kashakash mein
hum aise log to ranj-o-malal se bhi gaye
wo log jin se teri bazm mein the hangame
gaye to kya teri bazm-e-khayal se bhi gaye
hum aise kon the lekin qafas ki ye duniya
ki par-shikaston mein apni misal se bhi gaye
charag-e-bazm abhi jan-e-anjuman na bujha
ki ye bujha to tere khad-o-khal se bhi gaye
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Aziz Hamid Madni

 0 People liked it
0 Ratings

Jinhein Bhulaney Mein Yaro, Barey Zamaney Lagay
Jub Dil Dukha Tou Wohi Loog Yaad Aney Lagey

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Yaad Shayari 471 - 480 of 517, Page 48 of 52 pages.