Yaad Shayari

Yaad Shayari - A large collection of Yaad Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Yaad Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Yaad Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Yaad Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Yaad Shayari

Showing Yaad Shayari 481 - 490 of 517, Page 49 of 52 pages.

Ek bas tu hi nahi mujhase khafa ho baitha
main ne jo sang tarasha wo khuda ho baitha
uth ki manzil hi agar aaye to shayad kuch ho
shauq-e-manzil mein mera aabalapa ho baitha
masalahat chin gai quvvat-e-guftar magar
kuch na kahana hi mera meri sada ho baitha
shukriya ae mere qatil ae masiha mere
zeher jo tune diya tha wo dawa ho baitha
jane ‘shehzad' ko minjumla-e-ada pakar
huk wo utthi ki jee tan se juda ho baitha
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Farhat Shahzad

 0 People liked it
0 Ratings

Phire reh se wo yahan aate aate
ajal meri rahi tu kahan aate aate
mujhe yaad karne se ye mudda tha
nikal jaye dam hichakiyan aate aate
kaleja mere muh ko aayega ik din
yun hi lab pe aah-o-fugan aate aate
natija na nikala thake sab payami
vahan jate jate yahan aate aate
nahi khel ae “dag” yaron se kah do
ke aati hai urdu zuban aate aate

 0 People liked it
0 Ratings

Aafat ke shokhiyan hain tumhari nigah mein
mehashar ke fitane khelate hain jalwa-gah mein
wo dushmani se dekhate hain dekhate to hain
main shad hun ke hun to kisi ke nigah mein
aati bat bat mujhe yad bar bar
kahata hun daud daud ke qasid se rah mein
is taubah par hai naz mujhe zahid is qadar
jo tut kar sharik hun hal-e-tabah mein
mushtaq is ada ke bahot dard-mand the
ae dag tum to baith gaye ek aah mein

 0 People liked it
0 Ratings

Yeh Rishtay Mohabbat Kay Azmaiy Nahi Jatey
Aggar Toot Be Jaein Dil Se Bhulaye Nahi Jatey,
Koi Khaas Hi Hota Hai Palkon May Jo Rehta Hai
Sab Log Tu Dil May Aay Jaan may Basay Nahi Jatey
Sare Sapno Ki Kirnien Tao Ho Jati Hein Khud Roshan
Khawab Mohbat Key Soch Samajh Key Sajey Nahi Jatey
Mit Jata Hai Sab Khuch Magar Es Payar Key Rishtay May
Khuch Naqash Kabhi Dil Se Mitaye Nahi Jatey
Keh Do Yeah Zara Un se Huma Judai Tarpati Hai
Intzaar Key Diay Ab Hum Se Jalay Nahi Jatey.

 0 People liked it
0 Ratings

Ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi
marmari taron bhari raton mein kya hota nahi
jee mein aata hai ulat den un ki chehare se naqab
hausla karte hain lekin hausla hota nahi
shama jis ki aabaru par jan de de jhum kar
wo patanga jal to jata hai fana hota nahi
Poet of the poem/ghazal or Nazam:  Sagar Siddiqui

 0 People liked it
0 Ratings

Tujhe Pyar Mera Satayega Aksar
Yaado Ke Toofa Uthayega Aksar
Zikar Mera Karne Se Pehle
Tu Kuch Soch Ke Muskrayega Aksar
Mera Naam Likh Kar Kitabo Main Apni
Tu Logon Ke Dar Se Mitayega Aksar
Baatein Meri Yaad Ayengi Itni
Jitna Tu Unhain Bhulayega Aksar

 0 People liked it
0 Ratings

Dur reh kar bhi teri fariyad karte hain.
Apni tanhayi se teri baat karte hain.
Tu bhul ja ya khuf-ae-badnami se ho juda.
Har ghari har pal tujhi ko yaad karte hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Gulashan ke faqat phoolon se nahi kanton se bhi zinat hoti hai
jine ke liye is duniya mein gham ke bhi zarurat hoti hai
ae vaiz-e-nadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
yahan roz nigahen milati hain yahan roz qayamat hoti hai
wo purasish-e-gam ko aaye hain kuch kah na sakun chup rah na sakun
kamosh rahun to mushkil hai kah dun to shikayat hoti hai
karana hi padega zabt-e-alam pine hi padenge yah aansu
fariyad-o-fugan se ae nadan tauhin-e-mohabbat hoti hai
jo aake ruke daman pe ‘saba' wo ashq nahi hain pani hai
jo aansu na chalake aankhon se us ashq ke qimat hoti hai
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Saba Afghani

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Yaad Shayari 481 - 490 of 517, Page 49 of 52 pages.