Yaad Shayari

Yaad Shayari - A large collection of Yaad Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Yaad Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Yaad Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Yaad Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Yaad Shayari

Showing Yaad Shayari 501 - 510 of 517, Page 51 of 52 pages.

Ab Na Jagoon Ga Raaton Ko Uski Yaadon K Saharay…..
Main Nay Fitrat Badalni Hai Uski Nazroon Ki Tarha…

 0 People liked it
0 Ratings

Jinki Yaad Me Hum Dewane Ho Gaye,
Wo Hi Hum Se Begane Ho Gaye,
Shayad Unhe Talash Hai Ab Naye Dost Ki,
Kyunki Unki Nazro Me Hum Purane Ho Gaye….

 1 People liked it
0 Ratings

Unki Yaad Mein Sab Kuch Bhulaye Baithey Hain
Chiraag Khushiyon Ke Bujhaye Baithey Hain
Hum To Marenge Unki Hi Baahon Mein,
Maut Se Yeh Shart Lagaye Baithey Hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Hum Ko Kuch Yadain Stati Hain Shab-O-Roz Warna…!!
Hum Bhi Kabhi Apki Traha Pursakoon Soya Karte Thay

 0 People liked it
1 Ratings

Hawa ke zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya
pukarate rahe mahafuz kishtiyon wale
main dubata hua dariya ke par utar bhi gaya
ab ehatiyat ke divar kya uthate ho
jo chor dil mein chupa tha wo kam kar bhi gaya
main chup raha ki is mein thi aafiyat jan ke
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya
sulagte sochate viran mausamon ke tarah
kada tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya
jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
jo naam dil mein raha zehan se utar bhi gaya
phati-phati hui aankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis ke wo shakhs mar bhi gaya
magar falak ke adavat usi ke ghar se na thi
jahan ‘faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya
 

 0 People liked it
0 Ratings

Palkein Band Kiye Bina Neend Nahi Ayegi
Khawabon Mein Unki Surat Dikh Jayegi
Intezar Toh Subah Dubara Shuru Hoga
Kam Se Kam Raat To Khushi Se Kat Jayegi

 0 People liked it
0 Ratings

Gulon mein rang bhare, bad-e-naubahar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale
qaffas udas hai yaro, saba se kuch to kaho
kaheen to bahr-e-khuda aj zikr-e-yar chale
kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aagaz
kabhi to shab sar-e-kakul se mushkabar chale
bada hai dard ka rishta, ye dil garib sahi
tumhare naam pe aayenge gamgusar chale
jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran
hamare ashk teri aaqabat sanwar chale
huzoor-e-yar hui daftar-e-junun ke talab
girah mein leke gareban ka tar tar chale
maqam ‘faiz' koi rah mein jacha hi nahi
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Faiz Ahmed Faiz

 0 People liked it
0 Ratings

Ganv mit jayega shahar jal jayega
zindagi tera chehara badal jayega
kuch likho marsiya masanavi ya gazal
koi kagaz ho pani mein gal jayega
ab usi din likhunga dukhon ki gazal
jab mera hath lohe mein dhal jayega
main agar muskura kar unhen dekh lun
qatilon ka irada badal jayega
aj suraj ka rukh hamari taraf
ye badan mom ka hai pighal jayega
Poet of the poem or ghazal or Nazam is Bashir Badr

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Yaad Shayari 501 - 510 of 517, Page 51 of 52 pages.