Zakham Shayari

Zakham Shayari - A large collection of Zakham Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Zakham Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Zakham Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Zakham Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Zakham Shayari

Showing Zakham Shayari 1 - 10 of 73, Page 1 of 8 pages.

Churi Ki Nok Se Zakhmo Pe Wo Marham Lagate Hain,
Zkham Bhi Khud He Dete Hain Khud He Aansu Bhate Hain,
Ye Kaisa Pyar Hai Unka Koi To Hmko Smjhao,
Sitmgar Hain Ya Hain Dilbar Hain Wo Jo Yad Ate Hain

 9 People liked it
7 Ratings

Ussi Tarah Se Her Eik Zakhm Khushnuma Dekhay
Woh Aaye Tou Mujhe Abb Bhi Hara Bhara Dekhay
Guzar Gaye Hein Bohot Din Rafaqat E Shab Mein
Eik Umr Ho Gai Chehra Woh Chaand Sa Dekhay
Mere Sukoot Se Jis Ko Gilay Rahe Kya Kya
Bicharte Waqt Unn Ankhon Ka Bolna Dekhay
Tere Siwa Bhi Kai Rang Khushnuma Thay Magar
Jo Tujhko Dekh Chuka Ho Woh Aur Kya Dekhay
Bus Eik Rait Ka Zarra Bacha Tha Aankhon Mein
Abhi Talak Jo Musafir Ka Raasta Dekhay
Ussi Se Poochay Koi Dasht Ki Rifaqat Jo
Jub Aankh Kholay, Paharon Ka Silsila Dekhay
Tujhe Aziz Tha Aur Mein Ne Uss Ko Jeet Lya
Meri Taraf Bhi Tou Eik Pall Tera Khuda Dekhay

 3 People liked it
5 Ratings

Kaanch Chubhe Toh Zakhm Reh Jaate Hai
Dil Toote Toh Armaan Reh Jaate Hai
Lagaa Toh Deta Hai Waqt Marham Iss Dil Par
Phir Bhi Umr Bhar Nishaan Reh Jaate Hai

 23 People liked it
16 Ratings

Kisi Dil Kusha Si Pukar Se Ussi Ek Bad-E-Bahar Se
Kahi Barg Barg Namu Mili, Kahi Zakhm Zakhm Hara Huwa

 4 People liked it
3 Ratings

Zakhm Bhi Khana Tabassum Bhi Labo'n Par Rakhna
Kis Ki Taqleed Hai Aaiiney Pe Pathhar Rakhna
Phir Parakhna Meri Masoom Talab Ko Ai Dost
Chund Angaarey Bhi Pholo'n K Barabar Rakhna
Aasma'n Lakh Mujhey Sajda E Ta'azeem Karey
Mai Na Bhuloonga Magar Paoo'n Zamee'n Par Rakhna
Goonj Sakti Hai Kisi Waqt Koi Tishna Sada
Apni Tehveel Mai Darya Na Samandar Rakhna
Bhigi Palko'n Se Saza Hijr Ki Dene Waley
Mujhse Kab Hoga Ye Manzar Pas E Manzar Rakhna
Kal Bhi Rona Hai Tumhe Subho Ki Mayyat Pe FAHEEM
Kuchh Lahoo Dida E Garya'n Mai Bacha Kar Rakhna

 3 People liked it
3 Ratings

Jo Zakhm Tu Nay Diye Thay Woh Bhertay Jatay Hain
Charhay Hoay Thay Jo Dariya Utartay Jatay Hain
Yeh Ahel-e-Shahr-e-Wafa Hain Ajab Bahar Parust
Sarooo Kay Phool Faseelo’n Pay Dhertay Jatay Hain
Nahi Hai Aur Tu Kuch Bhi Hamaray Hatoo’n Main
Siva Ye Arz-e-Tamman Na So Kertay Jata Hain
Ajeeb Loog Hain , Yeh Ahel-e-Intezaar Kay Jo
Khud Apni Aag Main Jul Kar Sa’nwertay Jatay Hain
Najanay Kaun Si Basti Kay Hain Yeh Bashindey!
Nazar Uthatey Nahi Aur Guzertay Jatay Hain
Yeh Aaj Shaher Pay Utri Hay Kis Bala Ki Raat
Charaagh Apni Lawoo’n Say Mukertay Jatay Hain
Darakht Shaam Ko Lagtay Hain Shaher Say Amjad
Kay Shaakh Shaakh Parinday Utartay Jatay Hain

 4 People liked it
3 Ratings

Jati hai dhup ujale paron ko samet ke
zakhmon ko ab ginunga main bistar pe let ke
main hath ke lakiren mitane pe hun ba-zid
go janata hun naqsh nahi ye slet ke
duniya ko kuch khabar nahi kya hadasa hua
phenka tha us ne sang gulon mein lapet ke
phavvare ke tarah na ugal de har ek baat
kam kam wo bolate hain jo gahare hain pet ke
ik naqarai khanak ke siva kya mila ‘shakeb'
tukde ye mujh se kahate hain tuti plet ke
 

 2 People liked it
1 Ratings

Humari Aankhoon Mei Ansoo Ho To Kya Ho?
Woh Hum Se Khafa Ho Jayen To Kya Ho?
Hum Duniya Waloon Se Chup To Nahi Sakte
Magar Apne Hi Zakhm Dein To Kya Ho?

 8 People liked it
8 Ratings

Post Shayari

Next Page

Showing Zakham Shayari 1 - 10 of 73, Page 1 of 8 pages.