Zakham Shayari

Zakham Shayari - A large collection of Zakham Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Zakham Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Zakham Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Zakham Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Zakham Shayari

Showing Zakham Shayari 41 - 50 of 73, Page 5 of 8 pages.

Hadse Ban Kay Log Yahan Mila Kartain Hain
Zakam Dekay Kaam Kiya Kartay Hain
Roz Gir Jati Hai Devar Teri Yaadon Ki
Roz Hum Maut Kay Saaye Mein Raha Kartay Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Kabhi to khul ke baras abr-e-meharaban ke tarah
mera vajud hai jalate hue makan ke tarah
bhari bahar ka sina hai zakhm zakhm magar
saba ne gaye hain lori shafiq man ke tarah
wo kon tha jo barahana badan chattanon se
lipat gaya tha kabhi bahr-e-bekaran ke tarah
sakut-e-dil to jazira hai barf ka lekin
tera khulus hai suraj ke sayeban ke tarah
main ik khwab sahi aap ke amanat hun
mujhe sambhal ke rakhiyega jism-o-jan ke tarah
kabhi to soch ke wo shakhs kis qadar tha buland
jo bich gaya tere qadmon mein aasman ke tarah
bula raha hai mujhe phir kisi badan ka basant
guzar na jaye ye rut bhi kaheen khizan ke tarah
lahu hai nisf sadi ka jis ke aabagine mein
na dekh “prem” use chashm-e-argavan ke tarah

 0 People liked it
0 Ratings

Mohabbat Mein Laakhon Zakham Khaye Humne,
Afsos Unhe Hum Par Aitbar Nahi,
Mat Pucho Kya Gujarti Hai Dil Par,
Jab Vo Kehte Hai Hame Tumse Pyar Nahi..

 0 People liked it
0 Ratings

Zakhm Itne Gehre Hai Izhaar Kya Kare
Hum Khud Nishana Bann Gaye Waar Kya Kare
Mar Gaye Hum Magar Khuli Rahi Aankhe
Ab Isse Zyada Unka Intezaar Kya Karee…

 0 People liked it
1 Ratings

Zukham Muskaratay Hain Ab Bhi Teri Aahat Par
Dard Bhool Jatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par
Shubnami Sitaroo Main Phool Khilnay Lagtay Hain
Chand Muskaratay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par
Umer Kaat Di Liken Buchpana Nahi Jata Hain
Hum Diyay Jalatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par
Ghunteiya Si Bujti Hain Ruqs Honay Lagta Hain
Dard Jugmagatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par
Tairi Yaad Aaein Tou Neend Jati Rehti Hain
Khawab Toot Jatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par
Jo Situm Karay Tou Sub Qubool Hain Dil Ko
Hum Khushi Munatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par
Ab Bhi Tairi Aahat Par Chand Muskarata Hain
Khawab Gugnatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par
Tairay Hijjar Main Hum Par Ek Azab Tari Hain
Chonk Chonk Jatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par
Dastakeen Sajanay Kay Manzar Nahi Rahtay
Rastay Sajatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par
Ab Bhi Tairi Aahat Par Aas Lout Aati Hain
Hum Diyay Jalatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Par

 0 People liked it
0 Ratings

Zakham E Tanhaayi Main Khushboo E Hina Kis Ki Thi
Saaya Deewar Par Mera Tha, Sada Kis Ki Thi
Us Ki Raftaar Se Lipti Rahi Aankhain Meri
Us Ne Murr Kar Bhi Na Dekha Ke Wafa Kis Ki Thi
Aansoun Se Hi Bhar Gaya Daaman Mera
Hath Tou Maine Uthaya Tha Dua Kis Ki Thi
Meri Aahon Ki Zubaan Koi Samjhta Kaise
Zindagi Itni Dukhi Mere Siwa Kis Ki Thi
Aag Se Dosti Us Ki Thi Jala Ghar Mera
De Gaye Kis Ko Saza Aur Khata Kis Ki Thi.

 0 People liked it
0 Ratings

Zakhm-E-Ummiid Bhar Gayaa Kab Kaa
Qais To Apne Ghar Gayaa Kab Kaa
Aap Ik Aur Niind Le Liijiye
Qaafilaa Kuuch Kar Gayaa Kab Kaa
Dukh Ka Lamhaa Azal Abad Lamhaa
Vaqt Ke Paar Utar Gayaa Kab Kaa
Apna Muunh Ab To Mat Dikhaoa Mujhe
Naasiho, Main Sudhar Gayaa Kab Kaa
Nasshaa Hone Kaa Be-Tarah Thaa Kabhi
Par Vo Zaalim Utar Gayaa Kab Kaa
Aap Ab Puuchney Ko Aaye Hain?
Dil Merii Jaan, Mar Gayaa Kab Kaa

 0 People liked it
0 Ratings

Zakham Dainay Ka Andaz Kuch Aisa Hai,
Zakham Day Ker Pochtay Hain Ab Haal Kaisa Hai?
Kisi Aik Say Gila Kiya Karna Yaaro,
Saari Duniya Ka Mizaaj Aik Jaisa Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Zakham Shayari 41 - 50 of 73, Page 5 of 8 pages.