Zakham Shayari

Zakham Shayari - A large collection of Zakham Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Zakham Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Zakham Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Zakham Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Zakham Shayari

Showing Zakham Shayari 51 - 60 of 73, Page 6 of 8 pages.

Ae Zindagi Tu Kayon Meri Tamannayi Hai
Yahan To Bas Dard Hai, Ashk Hain, Tanhayi Hai
Pehli Si Mohabbat Mere Se Na Maang
Mere Paas Bas Ab Zakham Aur Roosvai Hai

 1 People liked it
0 Ratings

Zulm ke paon se jo phul masal jate hain
khar ban kar wohi pathar pe nikal aate hain
phir baharon ke zarurat nahi rahati un ko
ye khizan mein bhi badi shan se khil jate hain
gunche wo milati nahi hai jinhen aagosh koi
wohi mitate hain to kichad mein kamal aate hain
dab-dabai hui aankhon mein na aannkhen dalo
in mein tufan hain ched se machal jate hain
wo jo kal raunaq-e-fanus thi aiwan ke liye
aj us shamma se aiwan dahal jate hain
dhup thi tez to saye bhi the paron ke tale
is ke dhalate hi rukh in ke bhi badal jate hain
hum ne samajha hai zamane ko badi der ke bad
ye wo khanjar hain jo apano pe bhi chal jate hain
hamako aata nahi zakhmon ke numaish karana
khud hi rote hain tadapate hain bahal jate hain
jo samajhate hain hawabis ko wo khilona ke tarah
un se tufan bhi bach-bach ke nikal jate hain
azm-vale kabhi himmat nahi hara karte
ashk ‘azra' ke ye kah kah ke samhal jate hain
Poet  of  the Poem / Ghazal or Nazam :Azra Adil Rashid

 0 People liked it
0 Ratings

Aakhiri tis aazamane ko
jee to chaha tha muskurane ko
yad itani bhi sakhtjan to nahi
ik gharaunda raha hai dahane ko
sangrezon mein dhal gaye aansu
log hansate rahe dikhane ko
zakhm-e-nagma bhi lau to deta hai
ik diya rah gaya jalne ko
jalne wale to jal bujhe aakhir
kon deta khabar zamane ko
kitane majabur ho gaye honge
ankahi bat munh pe lane ko
khul ke hansana to sab ko aata hai
log tarasate rahe ik bahane ko
reza reza bikhar gaya insan
dil ke viraniyan jatane ko
hasaraton ke panahgahon mein
kya thikane hain sar chupane ko
hath kanton se kar liye zakhmi
phul balon mein ik sajane ko
aas ke bat ho ki sans ‘ada'
ye khilaune hain tut jane ko

 0 People liked it
0 Ratings

Hum hain mata-e-kucha-o-bazar ke tarah
uthati hai har nigah kharidar ke tarah
is ku-e-tishnagi mein bahut hai ke ek jam
hath aa gaya hai daulat-e-bedar ke tarah
wo to hain kaheen aur magar dil ke aas pas
phirati hai koi shay nigah-e-yar ke tarah
sidhi hai rah-e-shauq pa yun hi kabhi kabhi
kham ho gai hai gesu-e-diladar ke tarah
ab ja ke kuch khula hunar-e-nakhun-e-junun
zakhm-e-jigar hue lab-o-rukhsar ke tarah
‘majrooh' likh rahe hain wo ahal-e-vafa ka naam
hum bhi khade hue hain gunahagar ke tarah

 0 People liked it
0 Ratings

Gham Se Badker Dost Koi Dusra Hota Nahi
Sub Juda Hote Hai Lekin Gham Dil Se Kabhi Juda Hota Nahi

 1 People liked it
0 Ratings

Dost gamkhvari mein meri sai farmayenge kya
zakhm ke bharne talak nakhun na badh jayenge kya
beniyazi had se guzri banda paravar kab talak
hum kahenge hal-e-dil aur aap farmayenge kya
hazarat-e-naseh gar aayen dida-o-dil farsh-e-rah
koi mujh ko ye to samajha do ki samajhayenge kya
aj van teg-o-kafan bandhe hue jata hun main
uzr mera qatl karne mein wo ab layenge kya
gar kiya naseh ne hum ko qaid acha yon sahi
ye junun-e-ishq ke andaz chut jayenge kya
khana zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kya
hain giraftar-e-vafa zindan se ghabarayenge kya
hai ab is mamure mein qahat-e-gam-e-ulfat asad
hum ne ye mana ki dilli mein rahe khayenge kya

 0 People liked it
0 Ratings

Aayi na phir nazar kaheen jane kidhar gai
un tak to sath gardish-e-sham-o-sahar gai
kuch itna besabat tha har jalva-e-hayat
laut aayi zakhm kha ke jidhar bhi nazar gai
aa dekh mujh se ruthane vale tere bagair
din bhi guzar gaya meri shab bhi guzar gai
nadim hai apne apne qarinon pe har nazar
duniya lahu uchal ke kitani nikhar gai

 0 People liked it
0 Ratings

Mataa-E- Qalbo Jigar Hai, Hame Kaheen Se Mile
Magar Woh Zakhm Jo Us Daste Shabnamee Se Mile
Na Shaam Hai, Na Ghanee Raat Hai, Na Pichhla Paher
Ajeeb Rang Teree Chaashm Surmageen Se Mile
Main Us Wisaal Ke Lamhe Ka Naam Kiya Rakhoon
Tere Libaas Ki Shikne Teree Jabeen Se Mile
Shataae-Shain Mere Ahbaab Ki Nawaazish Hain
Magar Sile To Mujhe Apne Nukta Cheen Se Mile
Tamaam Umr Ki Naamo-Tabar Rifaaqat Se
Kaheen Bhala Ho Ke Pal Bhar Milain, Yaqeen Se Mile
Yahee Raha Hai, Muqaddar Mere Kisaano Ka
Ke Chaand Boei(N) Aur Unko Gahan Zameen Se Mile
Perween Shakir

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Zakham Shayari 51 - 60 of 73, Page 6 of 8 pages.