Zakham Shayari

Zakham Shayari - A large collection of Zakham Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Zakham Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Zakham Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Zakham Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Zakham Shayari

Showing Zakham Shayari 61 - 70 of 73, Page 7 of 8 pages.

Dosti jab kisi se ke jaye
dushmanon ke bhi raye li jaye
maut ka zeher hai fizaon mein
ab kahan ja ke sans li jaye
bas isi soch mein hun duba hua
ye nadi kaise par ke jaye
mere mazi ke zakhm bharne lage
aj phir koi bhool ke jaye
botalen khol ke to pi barason
aj dil khol ke bhi pi jaye

 0 People liked it
0 Ratings

Dosti Ka Hum Farz Ada Karte Hai
Aapke Naam Pe Jaan Fida Karte Hai
Aapko Phool Se Bhi Zakham Na Aaye Kabhi
Khuda Se Hum Sirf Ye Dua Karte Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Umar Kya Kahu Kafi Nadan Hai Meri
Sabko Pyar Dena Pahchan Hai Meri
Apka Dil Zakhmo Se Bhara Ho To Humse Milo
Dilo Ko Repair Karne Ki Dukan Hai Meri

 0 People liked it
0 Ratings

Kuch Zakhm Sadiyoun Baad Bhi Taaza Rehte Hai
Waqt Ke Paas Bhi Har Marz Ki Dawa Nahi Hoti..

 0 People liked it
0 Ratings

Wo Hamen Bhool Bhi Jayen To Koi Gum Nahi Hai,
Jana Unka Jaan Jane Se Km Nahi Hai,
Jane Kaise Zakham Diye Hain Usne Is Dil Ko???
K Jiske Liye Sb Vaid Kehte Hain Ki Koi Marham Nahi Hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Apne Hathon Se Chiraghon Ko Bujane Lag Jaen
Tum To Kehte Ho K Hum Tikane Lag Jaen
Os Ko Sochein To Rag-E-Jan Se Bhi Nazdeek Hy Wo
Aor Dhondein To Kae Zamane Lag Jaen
Hum Iss Aas Pe Bethay Hyn Shikisht-E-Khayal
Ain Mumkin Hy K Wo Ehd Nabhane Lag Jaen
Mana K Zakhim Judai Ka Buhat Gehra Hay
Aor Aisa Bhi Nahin Hy K Hum Dikhane Lag Jaen

 0 People liked it
0 Ratings

Nazar Main Zakhm-E-Tabbasum Chupa Chupa K Mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujh Se Muskera K Mila
Wo Humsafar Ke Mere Tanz Per Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila
Mere Mizaj Pe Hairaan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga Ke Mila
Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
Kay Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mila
Main Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka Ke Mila
Main Zakham Zakham Badan Lay Ke Chal Dia KASHI
Wo Jab Bhi Apni Qaba Per Kanwal Saja Ke Mila

 0 People liked it
0 Ratings

Waqt Ke Is Mor Par Yeh Kaisa Waqt Aya Hai
Zakhm Iss Dil Ka Zubaan Par Aaya Hai
Nahi Rote The Hum Kanton Ki Chubhan Se
Aaj Phoolo Ki Chubhan Ne Hume Rulaya Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Zakham Shayari 61 - 70 of 73, Page 7 of 8 pages.