Zindagi Shayari

Zindagi Shayari - A large collection of Zindagi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Zindagi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Zindagi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Zindagi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Zindagi Shayari

Showing Zindagi Shayari 111 - 120 of 281, Page 12 of 29 pages.

Us Ko Pana Hi Meri Zindagi Ka Maqsad Hai
Gar Wo Milta Hai, Mujhe Mar K Amar Jane D

 0 People liked it
0 Ratings

Zindagi Ke Har Mor Par
Hum Ne Dhoka Kha Rakha Hai
Loog Samajhte Hain
Hum Ne Duniya Ko Hansa Rakha Hai
Laiken In Ko Kia Maloom!!
Keh Hum Ne
Apne Ghar Ke Aik Kamre Mein
Aik Choota Sa Apni Hasraton Ka
Qabristan Bana Rakha Hai
Mout Bhi Karti Hai Hum Se Be Wafaye
Aur Ghumon Ne Humein
Sanam Khana Bana Rakha Hai
Loogo Ki Nazro Mein Hum Ne
Apne Labon Par
Majmooa-E-Aashar Saja Rakha Hai
Laiken In Ko Kia Maloom!!!
Hum Ne Ghum Aur Dukhoo Ka
Naam Khushi Bana Rakha Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Aj jane ke zid na karo
yun hi pahalu mai baithe raho
haye! mar jayege, hum to lut jayege
aisi baten kiya na karo
tum hi socho zara kyun na roke tumhen
jan jati hai jab uthake jate ho tum
tum ko apani kasam jan-e-jan
bat itani meri man lo
waqt ke qaid mai zindagi hai magar
chand ghadiyan yahi hain jo aazad hai
in ko kho kar abhi jan-e-jan
umr bhar na taraste raho
kitana masum-o-rangin hai ye sama
husn aur ishq ke aj meraj hai
kal ki kisako khabar jane-jan
rok lo aj ke rat ko
gesuon ke shikan hai abhi shabanami
aur palakon ke saye bhi madahosh hain
husn-e-masum ko jane-jan
bekhudi mai na rusva karo

 0 People liked it
0 Ratings

Hamsafar hota koi to bant lete duriyan
rah chalte log kya samajhen meri majaburiyan
muskurate khwab chunati gungunati ye nazar
kis tarah samajhe meri qismat ke namanzuriyan
hadason ke bheed hai chalata hua ye karavan
zindagi ka naam hai lachariyan majaburiyan
phir kisi ne aj cheda zikr-e-manzil is tarah
dil ke daman se lipatane aa gai hain duriyan

 0 People liked it
0 Ratings

Ye zindagi
aj jo tumhare
badan ke choti-badi nason mein
machal rahi hai
tumhare pairon se chal rahi hai
tumhari aavaz mein gale se nikal rahi hai
tumhare lafzon mein dhal rahi hai
ye zindagi
jane kitni sadiyon se
yun hi shaklen
badal rahi hai
badalati shaklon
badalate jismon mein
chalata-phirata ye ik sharara
jo is ghadi
naam hai tumhara
isi se sari chahal-pahal hai
isi se roshan hai har nazara
sitare todo ya ghar basao
qalam uthao ya sar jhukao
tumhari aankhon ke roshni tak
hai khel sara
ye khel hoga nahi dubara
ye khel hoga nahi dubara

 0 People liked it
0 Ratings

Dayar-e-dil ki raat mein chirag sa jala gaya
mila nahi to kya hua wo shaql to dikha gaya
judaion ki zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi neend aa gai mujhe bhi sabr aa gaya
ye subah ki safediyan ye dopahar ki zardiyan
ab aaine mein dekhata hun main kahan chala gaya
pukarati hain fursaten kahan gai wo sohabaten
zamin nigal gai unhen ya aasaman kha gaya
wo dosti to khair ab nasib-e-dushmanan hui
wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya
ye kis khushi ki ret par gamon ko neend aa gai
wo lahar kis taraf gai ye main kahan sama gaya
gaye dinon ki lash par pade rahoge kab talak
utho amalkashon utho ki aafatab sar pe aa gaya

 1 People liked it
0 Ratings

Zindage Har Pal Khas Nahi Hoti
Phuloon K Khusbu Hamesha Pass Nahi Hoti
Milna Hamare Taqdeer Me Likha Tha
Warna Itni Payari Dosti Hamare Itefaq Nahi Hoti

 0 People liked it
0 Ratings

Jiyenge magar muskura na sakenge ke ab zindagi mein muhabbat nahi hai
labon pe tarane ab aa na sakenge ke ab zindagi mein muhabbat nahi hai
baharen chaman mein jab aaya karengi nazron ke mahafil sajaya karengi
nazare bhi hum ko hansa na sakengi ke ab zindagi mein muhabbat nahi hai
javani bulayegi savan ke raten zamana karega muhabbat ke baten
magar hum ye savan mana na sakenge ke ab zindagi mein muhabbat nahi hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Zindagi Shayari 111 - 120 of 281, Page 12 of 29 pages.