Zindagi Shayari

Zindagi Shayari - A large collection of Zindagi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Zindagi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Zindagi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Zindagi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Zindagi Shayari

Showing Zindagi Shayari 171 - 180 of 281, Page 18 of 29 pages.

Aadatan tum ne kar diye vade
aadatan hum ne aitabar kiya
teri rahon mein baraha ruk kar
hum ne apana hi intazar kiya
ab na mangenge zindagi ya rab
ye gunah hum ne ek bar kiya

 0 People liked it
1 Ratings

Yar bin talkh zindagani thi
dosti muddai-e-jani thi
sheb mein fayada ta'mmul ka
sochana tab tha hab javani thi
mere qisse se sab ke ninden gain
kuch ajab taur ke kahani thi
ku-e-qatil se bach ke nikala khizr
isi mein us ke zindagani thi
fitr par bhi tha ‘mir' ke ik rang
kafani pahani to zafarani thi

 0 People liked it
0 Ratings

Ab Mujhe Zindagi Se Pyar Nahi Hai,
Maut Pe Hai, Zindagi Pe Aitbar Nahi Hai.
Rok Le Jo Unki Yadon Ko Dil Me Aane Se,
Itni Unchi Mere Dil Ki Deewar Nahi Hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Humara Dil Savere Ka Sunhera Jaam Ho Jaye,
Chirago Ki Tarah Aankhein Jale Jab Shaam Ho Jaye,
Kabhi To Aasman Se Chand Utre Jaam Ho Jaye,
Tumhare Naam Ki Ek Khoobsurat Sham Ho Jaye,
Ajab Halat The Yu Soda Ho Gaya Aakhir,
Mohabbat Ki Haveli Jis Tarah Nelaam Ho Jaye,
Samundar Ke Safar Mein Is Tarah Awaz De Humko,
Hawayein Tez Ho Or Kashtiyo Mein Shaam Ho Jaye,
Mujhe Maloom Hai Iska Thikana Phir Kaha Hoga,
Parinda Aasman Chhune Mein Jab Nakaam Ho Jaye,
Ujale Apni Yaado Ke Humare Saath Rehne Do,
Najaane Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaye..!!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai.
Is Jahan Mein Kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai.
Guzar Rahi Hai Zindagi Imtehan Ke Daur Se.
Ek Khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai
Her Kisii Ko Kisii Na Kisii Ki Talash Hai
Kisii Ke Pass Manzil Hai Toh Raah Nahi
Aur Kisii Ke Pass Rah Hai Toh Manzil Nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Tu nahi to zindagi main aur kya reh jayega
dur tak tanhaiyon ka silsila reh jayega
kijiye kya guftagu kya un se mil kar sochiye
dil-shikasta khvahishon ka zayaqa reh jayega
dard ke sari tahen aur sare guzri hadase
sab dhuan ho jayenge ek vaqiya reh jayega
ye bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar
yun bhi hoga khud usi mein ek khala reh jayega
dayar-e-inkar ke iqarar ke saragoshiyan
ye agar tute kabhi to fasala reh jayega

 0 People liked it
0 Ratings

Lab pe pabandi nahi ehasas pe pahara to hai
phir bhi ahal-e-dil ko ahaval-e-bashar kahana to hai
apni gairat bech dalen apna masalaq chod den
rahnumaon mein bhi kuch logon ko ye mansha to hai
hai jinhen sab se zyada dava-e-hubb-e-vatan
aj un ke vajah se hubb-e-vatan rusava to hai
bujh rahe hain ek ek kar ke aqidon ke diye
is andhere ka bhi lekin samana karana to hai
jhooth q bolen farog-e-maslahat ke naam par
zindagi pyari sahi lekin hamen marana to hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Zindagi Shayari 171 - 180 of 281, Page 18 of 29 pages.