Zindagi Shayari

Zindagi Shayari - A large collection of Zindagi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Zindagi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Zindagi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Zindagi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Zindagi Shayari

Showing Zindagi Shayari 31 - 40 of 281, Page 4 of 29 pages.

Zindagi Humein Deekh Ke Rohi Akele Ja Ke
Hosh Mein La Ke Humein Kudh Tanhai Mein Rehi
Pagal Thi Zindagi Kuch Naam Se
Le Dard Asa De Ke Gai Bewafai Ke Naam Se

 0 People liked it
0 Ratings

Yoon Badi Der Se Paimaana Liye Baitha Hoon
Koi Dekhe Vo Ye Samajhe Piye Baitha Hoon
Zindagi Bhar Ke Liye Rooth Ke Jaane Waale
Main Abhi Tak Tasveer Liye Baitha Hoon

 0 People liked it
0 Ratings

Navak andaz jidhar dida-e-janan honge
nim-bismil kai honge kai bejan honge
tab-e-nazara nahi aaina kya dekhane dun
aur ban jayenge tasvir jo hairan honge
tu kahan jayegi kuch apna thikana kar le
hum to kal khvab-e-adam mein shab-e-hijaran honge
phir bahar aayi wohi dasht-e-navardi hogi
phir wohi paon wohi khar-e-mugelan honge
nasiha dil mein tu itna to samajh apne ke hum
lakh nadan huye kya tujh se bhi nadan honge
ek hum hain ke huye aise pasheman ke bas
ek wo hain ke jinhen chah ke arman honge
minnat-e-hazarat-e-isa na uthayenge kabhi
zindagi ke liye sharminda-e-ehasan honge
umr to sari kati ishq-e-butan mein “momin”
ab aakhiri waqt mein kya khak musalaman honge

 0 People liked it
0 Ratings

Mohabbat ke tabiyat mein
ye kaisa bachapana qudarat ne rakkha hai
ke jitani purani jitani bhi mazabut ho jaye
ise taid-e-taza ke zarurat phir bhi rahati hai
yaqin ke aakhiri had tak dilon mein lahlahati ho
nigahon se tapakati ho lahu mein jagmagati ho
hazaron tarah se dilkash hasin hale banati ho
use izhar ke lafzon ke hajat phir bhi rahati hai
mohabbat mangati hai yun gavahi apne hone ke
ke jaise tifl-e-sada sham ko ik bij boye
aur shab mein baura uthe
zamin ko khod kar dekhe
ke paudha ab kahan tak hai
mohabbat ke tabiyat mein ajab takarar ke khu hai
ke ye iqrar ke lafzon ko sunane se nahi thakati
bichadane ke ghadi ho ya koi milane ke sa'at ho
ise bas ek hi dhun hai
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai
kuch aisi besakuni hai wafa ke sarzaminon mein
ke jo ahal-e-mohabbat ko sada bechain rakhati hai
ke jaise phul mein khsuhbu ke jaise hath mein tara
ke jaise sham ka tara
mohabbat karne valon ke sahar raton mein rahati hai
gumanam ke shakhchon mein aashiyan banata hai ulfat ka
ye ain visal mein bhi hijr ke khadshon mein rahati hai
mohabbat ke musafir zindagi jab kat chukate hain
thakan ke karachiyan chunate wafa ke ajaraken pahane
samay ke rahguzar ke aakhiri sarhad pe rukate hain
to koi dubati sanson ke dori tham ker
dhire se kehta hai
ke ye sach hai na
hamari zindagi ik dusare ke naam likhi thi
dhundhalaka sa jo aankhon ke qarib-o-dur phaila hai
isi ka naam chahat hai
tumhen mujh se mohabbat thi
tumhen mujh se mohabbat hai
mohabbat ke tabiyat mein
ye kaisa bachapana qudarat ne rakkha hai

 0 People liked it
0 Ratings

Sunehri dhoop barsat k baad
Thori si hansi her baat k baad
Usi tarag ho Mubarak aap ko 2009, 2008 k baad
Wish You a HaPPu HaPPy New Year..

 0 People liked it
0 Ratings

Mery Wajood Se Lipti Khushbo Tere Naam Ki Hai
Meray Dil Me Basi Her Ek Dharken Tery Naam Ki Hai
Itna Yaqeen Ker Lay Meray Hamnasheen
Bin Tery Meri Zindagi Baynaam Si Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Gam Na Karna Kabhi Zindgi Me
Kyuki Taqdeer Badalti Rehti Hai
Shesha Wahi Rehta Hai
Bas Tasveer Badalti Rehti Hai

 2 People liked it
1 Ratings

Aj ke daur mai ae dost ye manzar kyun hai
zakhm har sar pe har ik hath mai patthar kyun hai
jab haqiqat hai ke har zarre mai tu rahata hai
phir zamin par kaheen masjid kaheen mandir kyun hai
apana anjam to malum hai sab ko phir bhi
apani nazaron mai har insan sikandar kyun hai
zindagi jine ke qabil hi nahi ab “fakir”
varna har aankh mai ashkon ka samandar kyun hai

 1 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Zindagi Shayari 31 - 40 of 281, Page 4 of 29 pages.