Arzoo Justajoo Shayari

Arzoo Justajoo Shayari - A large collection of Arzoo Justajoo Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Arzoo Justajoo Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Arzoo Justajoo Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Arzoo Justajoo Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Arzoo Justajoo Shayari

Showing Arzoo Justajoo Shayari 51 - 60 of 62, Page 6 of 7 pages.

Sondhee Mittee Kee Khushboo Mien Liptee Huyee Kucch Yaadien
Phoolon Kee Pankhuriyon Mien Sahejay Huye Kucch Lamhaat
Uss Aksmaat Mulaaqaat Kee Goonjtee Huyee Dharkhan
Ek Ghazal Mien Gholee Huee, Kisikay Lafzon Kee Misree
Zehen Mien, Be-Khauf Failtaa Hua Ek Tassavvur Ka Jaadoo
Waqt Kee Aankhon Say Giree Huyee Ek Ashq Kee Boond
Shabnam Say Churayee Huyee, Thorhee See Numee
Ek Ajnabee Say Milee, Be-Takalluf Hansee
Unkee Jhalak Ka Muskurata Hua Khumaar
Ek Chashm Mien Tairtee Huyee Jheel Kee Gehraayee
Zehan Kay Aangan Mien Kheltay Huey Khayaalon Kay Kehkahay
Ek Manzil Pay Baithay Huey Intezaar Kee Kashish

 0 People liked it
0 Ratings

Har Yado Mai Usi Ki Yad Rehti Hai
Meri Ankho Ko Usi Ki Talash Rehti Hai
Kuch Tum Be Dua Karo Yaro
Dosto Ki Dua Mai Farishto Ki Faryad Hoti Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Kash Koi Aisa Ahal-E-Dil Hota Jo Meri Arzu Karta
Khoo Jati Agar Main Kahin, To Meri Justuju Karta
Mein Us Kay Zehan-o-Dil Main Kuch Is Tarah Sama Jati
K Lab Jab Bhi Kholta Meri Guftugu Karta

 0 People liked it
0 Ratings

Sirf Dekhke Kisi Ko Dil Ki Baat Nahi Hoti
Mulakat Ho Phir Bhi Kabhi Barsaat Nahi Hoti
Janti Hoon Main Kabhi Tumhari Na Ban Paungi
Phir Bhi Is Dil Mein Kabhi Raat Nahi Hoti

 0 People liked it
0 Ratings

Aadmi Ke Khwaishon Ki Koi Intehaa Nahi
Do Gaz Zameen Bhi Chahiye, Do Gaz Kafan Ke Baad

 0 People liked it
0 Ratings

Is Zindagi Ko Jeene Ki Aarzoo,
Bin Tere Hai Adhuri,
Tera Sath Jo Mil Jaye,
Meri Zindagi Ho Jaye Puri

 0 People liked it
0 Ratings

Dosti Ke Bhi Kuch Andaaz Hote Hain
Jagti Aankhon Mein Bhi Khawaab Hote Hain
Zaroori Nahi Ki Gam Mein Aansu Niklein
Muskurati Aankhon Mein Bhi Sailaab Hote Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Dayar-E-Gair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete
Tumhin Ne Ham Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Karte K Ham Asman Hila Dete
Hamein Ye Zom Raha Ab K Wo Pukarenge
Unhen Ye Zid Thi K Har Bar Ham Sada Dete
Wo Tera Gam Tha K Tasir Mere Lahje Ki
K Jis Ko Hal Sunate Use Rula Dete
Tumhen Bhulna Hi Awwal To Dastaras Mein Nahin
Jo Ikhtiyar Bhi Hota To Kya Bhula Dete
Tumhari Yad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Ansu Rahe Sada Dete
Samton Ko Main Ta-Umr Kosta Syed
Wo Kuch Na Kahte Magar Honth To Hila Dete

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Arzoo Justajoo Shayari 51 - 60 of 62, Page 6 of 7 pages.