Dard Shayari

Dard Shayari - A large collection of Dard Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dard Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dard Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dard Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dard Shayari

Showing Dard Shayari 631 - 640 of 708, Page 64 of 71 pages.


Aati jati saanso me Zindagi basar hoti rahi
Annkho me ashk na rahe par Zindagi roti rahi
dekha tha khwab par anjaam kuch aisa hua
dil mera tadapta raha aur wo bhi roti rahi
besabra hokar hamne zindagi bhi chohd di
kafan na nasib hua kabra ko lash roti rahi
aaj to us maa ne apne bacche sula diye
kal ki fikra me raat bhar daman bhigoti rahi
behisab khwahisho ka bojh itna badh gaya
khwahisho ki bheed me zindagi khoti rahi...

 0 People liked it
0 Ratings

Jis se pyar kiya tha,
Jis se apna sub kuch man liya tha,
Jis se dekhne ke lye aankhe tarasti thi,
Jis ki awaaz sunne ke liye dil machalta tha,
wohi mujhko beach rah me chod gaya!
Darde dil degaya!
Ab kise sunaye faryad hum,
Jise sunana tha wohi sab kuch legaya….!

 0 People liked it
0 Ratings

Tere Aane Ki Ummid Me Ek Paigam Likaha Hai
Ashko Ki Shyahi Se Tujhe Salam Likha Hai
Adhure Se In Khwabo Me
Rutha Hua Tera Naam Likha Hai
Aaj Bhi Tere Intezar Me Raahen Udas Ho Thi
Tere Na Aane Dard Raha Dil Me Kuch Soch Ye Aakhiri Kalaam Likha Hai
Tu Kar Khushiyo Ki Mehfile Aabad
Meri Duaao Ne Ibadat Me

 0 People liked it
0 Ratings

Ek Panchi Ka Bada Dard Bhara Fasana Tha
Zakhmi The Pankh Aur Toofan Me Use Jana Tha
Toofan To Jhel Gaya Wo Nadan
Par Ghar Pahuch Ke Hua Use Bada Afsos
Kyunki Wohi Daal Tooti Jispe Uska Aashiyana Tha

 0 People liked it
0 Ratings

Meri teri nigah mein jo lakh intazar hain
jo mere tere tan badan mein lakh dil figar hain
jo meri teri ungaliyon ke behisi se sab qalam nazar hain
jo mere tere shahar ke har ik gali mein
mere tere naqsh-e-pa ke be-nishan mazar hain
jo meri teri raat ke sitare zakhm zakhm hain
jo meri teri subah ke gulab chak chak hain
ye zakhm sare be-dava ye chak sare be-rafu
kisi pe rakh chand ke kisi pe os ka lahu
ye hain bhi ya nahi bata
ye hai ki mahaz jal hai
mere tumhare ankabut-e-vaham ka buna hua
jo hai to is ka kya karen
nahi hai to bhi kya karen
bata, bata, bata, bata
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Faiz Ahmed Faiz

 0 People liked it
0 Ratings

Kabhi Aansoo Kabhi Khushi Dekhi
Humne Majboori Aur Bekasi Dekhi
Chand Lamhaat Jeene Ke Liye
Bechke Apni Zindagi Dekhi
Andhere Agar Ghir Aaye Ho
Tere Pehloo Mai Raushni Dekhi
Teri Naraazgi Ko Kya Samjhein
Humne Khud Apni Bebasi Dekhi
Hum Kyon Yahan Badnaam Hai
Zamaane Ki Humne Dillagi Dekhi
Waadon Par Bharosa Abh Kyon Rahe
Humne Azeezon Ki Wada-Khilaafi Dekhi
Ek Hum Hai Jo Lut Gaye Tanha
Varna Duniya Bhar Ki Dosti Dekhi

 0 People liked it
0 Ratings

dard shayari
muhabbat ka sabab mai tujhse puchun kis qadar
khayyalon mai hai bass tu hee shaam o saher
kuch yoon guzzarta hai tanhaiyyon mai dinn
atay hi shaam ho rubaru tera chehra raat bhar
teri tarah hai neend bhi rooththi hui mujhse
ikk tera deedaar aur chaand taaron pe ikk nazar
taaron ke tootnay kaa abb intezaar rehta hai
k utha ke haath maang loon tujhe phir uss paher

 0 People liked it
0 Ratings


Dil ke Dard ko Lafzon mai dhala na gaya
Ghum ke Ansuon ko Aankho se nikala na gaya
Usne Mujhe Dard is liye diya
Kyun ke
Usse Mera Pyar Sambhala na gaya..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dard Shayari 631 - 640 of 708, Page 64 of 71 pages.