Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Aadmi (1968)

Kal Ke Sapane Aaj Bhee Aana Lyrics

Aadmi (1968)- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Kal Ke Sapane Aaj Bhee Aana from movie Aadmi (1968)

  

Lyrics

    • Movie Name : Aadmi (1968)
    • Director(s) : Naushad
    • Singer(s) : Lata Mangeshkar
    • Lyricist(s) : 

    kal ke sapane aaj bhee aana - (2)
    pritam ko bhee saath mein laana - (2)
    kal ke sapane aaj bhee aana

    aaj bhee din hai madhur suhaana
    baaj rahee hai mann kee baasuriya
    nainon ke tat pe prem ke rath pe
    laut ke abb toh aa jaa saawariya
    mai bhee sunaau, dil kaa taraana - (2)
    kal ke sapane aaj bhee aana

    jhumate baadal, gaate jharane
    aaj kisee ko dhundh rahe hai
    mai toh yeh jaanu saare najaare
    sajanaa tujhiko dhundh rahe hai
    aaj mujhe bhee daras dikhaana - (2)
    kal ke sapane aaj bhee aana

    meree nagariya aa mere rasiya
    dagar dagar mai aakhiya bichhau
    dil mein bithake nain milake
    janam janam kee pyaas bujhau
    tohe sikhau prit nibhana - (2)
    kal ke sapane aaj bhee aana
    pritam ko bhee saath mein laana
    kal ke sapane aaj bhee aana

    Related Lyrics