Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Aatma

Tumhare Bin Gujare Hain Kayi Din Lyrics

Aatma- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Tumhare Bin Gujare Hain Kayi Din from movie Aatma

  

Lyrics

    • Movie Name : Aatma
    • Director(s) : Shankar-Jaikishan
    • Singer(s) : Lata Mangeshkar,Mohammad Rafi
    • Lyricist(s) : Vishveshwar Sharma

    tumhare bin gujare hain kayi din abb na gujrenge
    jo dil me aa gayi hai, aaj ham woh kar hi gujrenge
    kabar kya thi ke apne bhi sitare aise bigadenge
    ke jo puja ke kabil hain, wohi yu rang badlenge

    kayi din bad phir yeh saj singar paya hai
    nahi malum tha ke aap yu inkar kar denge
    tumhare bin gujre.....

    tumhe kaise bataye kya hamare sath gujari hai
    tumhara kwab tutega agar yah bat kah denge
    tumhare bin gujre.....

    tumhari ek na manenge karenge aaj man-mani
    bahut tarasaya hai tumne, nahi abb aur tarsenge
    tumhare bin gujre.....

    sataya toh nahi karte kabhi kismat ke maro ko
    kisi ki jan jayegi kisi ke araman nikalenge
    tumhare bin gujre.....

    manaya tumako kitni bar lekin tum nahi mane
    to majbur ho kar ham shararat par bhi utarenge
    tumhare bin gujre.....

    hakikat kya hai yeh pehle bata dete to achchha tha
    khud apne jal se ham na jane kaise niklenge
    tumhare bin gujre.....

    Related Lyrics