Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Aavishkar

Mere Lal Tum To Hamesha The Lyrics

Aavishkar- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Mere Lal Tum To Hamesha The from movie Aavishkar

  

Lyrics

    • Movie Name : Aavishkar
    • Director(s) : Kanu Roy
    • Singer(s) : Manna Dey
    • Lyricist(s) : Gyan Dev Agnihotri

    maa ko pukarkar pucha bachhe ne
    aaya kahan se ho maa bolo toh
    pada kaha paya gaya bolo toh
    sunkar sawal yeh, maa ke stano se uphal pada dudh
    aur bah aaya aankho se uttar

    mere lal tum to hamesha the, mere mann ki abhilasha me
    mere tan ki paribhasha me, bachpan ke gudiyaghar me
    kitni bar tujhe khelte khelte toda, todte todte joda
    pakar khoya aur khokar paya hai, kaha se batau tu aaya hai
    pada tujhe maine kaha paya hai, mere lal

    (mila tha mann ko mere jab ik tan
    upja tha tu hi ik madhur chhand ban) - (2)
    aye
    gaat gaat ang ang mehka tha chhan chhananan
    os bhari subah se, suhag ke sangit se, sab ki manuhar se
    indradhanushi sapno sa aaya hai, kaha se batau tu aaya hai
    pada tujhe maine kahan paya hai, mere lal

    tu ha, tu hi toh hai meri amar aasha, subah ka sapna
    mann aur dadi ki sunahari khwahish
    prem ki parampara khwab ki khwahish
    aur prem ki asha se bani teri kaya hai
    kaha se batau tu aaya hai
    pada tujhe maine kaha paya hai, mere lal

    Related Lyrics