Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Angulimaal

Buddham Saranam Gachchhami Lyrics

Angulimaal- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Buddham Saranam Gachchhami from movie Angulimaal

  

Lyrics

    • Movie Name : Angulimaal
    • Director(s) : Anil Biswas
    • Singer(s) : Asha Bhosle,Manna Dey,Chorus
    • Lyricist(s) : 

    buddham saranam gachchhami - (2)
    sangham saranam gachchhami

    ghabarae jab mann anmol, hriday ho uthe danvadol

    ghabarae jab mann anmol, aur hriday ho danvadol
    tab manav too mukh se bol, buddham saranam gachchhami

    jab ashanti kaa rag uthe, lal lahu kaa phag uthe
    hinsa kee woh aag uthe, manav me pashu jag uthe
    upar se muskate nar, bhitar zeher rahe ho ghol
    tab manav too mukh se bol, buddham saranam gachchhami

    jab duhkh kee ghadiyan aaye, sach par jhuth vijay paye
    iss nirmal pawan mann par, jab kalank ke ghan chhaye
    anyayo kee andhi me, kan uthe jab tere dol

    ruth gaya jab sun ne vala, kis se karuun pukar
    pyar kaha pehchan saka yeh, yeh nirday sansar

    nirdaayata jab le le dham, daaya huyi ho antaryam
    jab yeh chhota sa insan, bhul raha apna bhagavan
    satya tera jab ghabaraye, shradhdhha ho jab danvadol

    jab dooniya se pyar uthe, nafarat kee diwar uthe
    man kee mamata par jis din, bete kee talawar uthe
    dharati kee kaaya kanpe, anbar dagamag uthe dol
    tab manav too mukh se bol, buddham saranam gachchhami

    dur kiya jis ne jan-jan ke vyakul mann kaa andhiyara
    jisaki ek kiran ko chhukar chamak utha yeh jag sara

    deep saty kaa sada jale, daaya ahinsa sada phale
    sukh shanti kee chhaya me jan gan man kaa prem pale
    bharat ke bhagawan buddha kaa gunje ghar ghar mantra amol
    he manav nit mukh se bol, buddham saranam gachchhami

    Related Lyrics