Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Anurodh

Tum Besahara Ho Toh Kisi Kaa Sahara Bano Lyrics

Anurodh- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Tum Besahara Ho Toh Kisi Kaa Sahara Bano from movie Anurodh

  

Lyrics

    • Movie Name : Anurodh
    • Director(s) : Laxmikant Pyarelal
    • Singer(s) : Manna Dey
    • Lyricist(s) : 

    tum besahara ho toh kisi kaa sahara bano
    tum ko apne aap hee sahara mil jayega
    kashti koyi dubati pahuncha do kinare pe
    tum ko apne aap hee kinara mil jayega
    tum besahara ho toh.........

    hans kar jinda rehna padta hai, apana dukh khud sehna padta hai
    rasta chahe kitna lamba ho, dariya ko toh behna padta hai
    tum ho ek akele toh ruk mat jao chal niklo
    raste me koyi sathi tumhara mil jayega
    tum besahara ho toh.........

    jiwan toh ek jaisa hota hai, koyi hansta, koyi rota hai
    sabrr se jina asan hota hai, fikr se jina mushkil hota hai
    thode phul hain kante hain jo takdir ne bante hain
    hamko iname se hissa hamara mil jayega
    tum besahara ho toh......... - (2)

    naa basti me naa virano me, naa kheto me naa khalihano me
    naa milta hai pyar bajaro me, naa bikta hai chain dukano me
    dhundh rahe ho tum jis ko, usako bahar mat dhundho
    mann ke andar dhundho pritam pyara mil jayega
    tum besahara ho toh.........

    Related Lyrics