Dil Diya Daulat Ko Ai Insaan Tune Kya Kiya Lyrics

Bhagam Bhag (1952)- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Dil Diya Daulat Ko Ai Insaan Tune Kya Kiya from movie Bhagam Bhag (1952)

  

Lyrics

    • Movie Name : Bhagam Bhag (1952)
    • Director(s) : O P Nayyar
    • Singer(s) : Unknown
    • Lyricist(s) : 

    dil diya daulat ko ai insaan tune kya kiya
    bhul baitha pyaar ko naadaan tune kya kiya
    aa aa aa aa.........
    aankhon ko mila yaar se aa aa aa aa.........
    aankhon ko mila yaar se, pine ka maja le - (2)
    are (mitkar kisi dildaar pe jine ka maja le - 2)
    daulat ki hawas chhod kahin pyaar mein kho ja
    aur jalawo ki barsaat mein hasti ko dubo ja, phir
    are phir jhum ke ha...
    phir jhum ke saawan ke mahine ka maja le - (2)
    aankhon ko mila yaar se, pine ka maja le
    mitkar kisi dildaar pe jine ka maja le

    gaafil kabhi paise ke tu najdik na jaana
    khanjar hai yeh khanjar ko gale se na lagaana
    yeh jindagi do din ki hai aa aa aa aa aa.......
    yeh jindagi do din ki hai jine ka maja le - (2)
    aankhon ko mila yaar se, pine ka maja le
    mitkar kisi dildaar pe jine ka maja le

    daulat se chala pyaas bujhaane tu jigar ki - (2)
    beh ja kahin maujon mein kisi mast najar ki
    pyaasa hai toh iss mauj se ha aa aa aa aa.........
    are (pyaasa hai toh iss mauj se pine ka maja le -2)
    mitkar kisi dildaar pe jine ka maja le
    aankhon ko mila yaar se, pine ka maja le - (2)

    Related Lyrics