Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Border

Hindustan Hindustan Lyrics

Border- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Hindustan Hindustan from movie Border

  

Lyrics

    • Movie Name : Border
    • Director(s) : 
    • Singer(s) : Shankar Mahadevan,Sonali Rathod,Kulbhushan Kharbanda
    • Lyricist(s) : 

    sarve bhavantu sukhina, sarve santu niramaya
    sarve bhadrani pashhantu, makaschit dukh bha bhavet
    hindustan, hindustan, hindustan, hindustan.......
    meree aan, meree shan, meree jan, hindustan
    hindustan, hindustan, hindustan, hindustan.......
    meree aan, meree shan, meree jan, hindustan
    panch hajar warsha pehle isi ved mantra kaa uchhar karke
    param pita parmatma kee yachana karte sabka bhala karo bhagvan
    sabko sukh aur shanti do aur panchso warsha pehle
    isi path ko saral bhasha me dohraya
    nanak nam jalti kala, tere pani sarvata bhala
    hindustan, hindustan, hindustan, hindustan.......
    meree aan, meree shan, meree jan, hindustan

    parantu sabke liye sukh aur shanti mananewale hindustani
    kya khud shanti se sakte, rehte bhee toh kaise rehte
    unaki dharti kaa dusra nam sone kee chidiya hai
    jiski mittee me sona aur jungalo me chandan hai
    shayad isi liye prakriti ne isaki suraksha ke liye
    uttar me himalaya, dakshin me hind mahasagar
    purab me bangal kee khadi, aur paschim me thar kaa registan bana diya tha
    hindustan, hindustan, hindustan, hindustan.......
    meree aan, meree shan, meree jan, hindustan

    phir bhee sone kee chamak aur chandan kee khushbu
    bahar ke hamlawaro ko lubhati rahi
    sikandar ke ghodo kee tapo ne
    hamare dharti ke sine kee dhadkan tej kar dee
    tohun mangol arab purtagali francisi
    aur angrej koyee pichhe naa raha
    sab aaye aur aate hee rahe
    shayad nahee jante the ke jahan sab duniyawale
    apnee apnee matrubhumi se pyar karte hain
    waha hindustani apnee matrubhumi kee puja karte hain, jee ha puja
    hindustan, hindustan, hindustan, hindustan.......
    meree aan, meree shan, meree jan, hindustan

    karodo hindustaniyo kee bhavna ko
    shabdo me dhalte huye hee toh bankim babu ne kaha tha
    sujalam sufalam malayaj shitalam shashya shamlam
    mataram vande vande mataram
    hamlawaro ko har mankar wapas jana pada
    par kutch log yahi reh gaye
    unhe hamari dhartimaa ne god le liye
    aur itihas sakhsi hai ma ne apnee god se janme
    aur god liye bachho me kabhee antar nahee kiya
    shayad isiliye jab jab kisi hamlawar ne
    hamari dharti ke sine par panv rakhna chaha
    sab bachhe sina tankar samne khade ho gaye
    aur sima suraksha kee divar khadi ho gayee
    hindustan, hindustan, hindustan, hindustan.......
    meree aan, meree shan, meree jan, hindustan

    hamlwar iss divar se takrakar wapas jate rahe
    jo unniso basat me huwa wahi san paisat aur wahi ikahattar me
    har bar hindustaniyo ne wapas jate dushman kee or dosti kaa hath badhaya
    kyunki hamari mittee ne hame sikhaya hain
    yadi nafrat karnewale nafrat kaa daman nahee chhodte
    toh mohabbat karnewale mohabbat kaa daman kyun chhode
    hindustan, hindustan, hindustan, hindustan.......
    meree aan, meree shan, meree jan, hindustan

    Related Lyrics