Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Censor

Ho Aaj Majhab Koyee Ek Aisa Naya Lyrics

Censor- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Ho Aaj Majhab Koyee Ek Aisa Naya from movie Censor

  

Lyrics

    • Movie Name : Censor
    • Director(s) : Jatin-Lalit
    • Singer(s) : Kavita Krishnamurthy,Roop Kumar Rathod,Vinod Rathod,Vijeyata Pandit
    • Lyricist(s) : 

    ho aaj majhab koyee ek aisa naya, dosto iss jahan me chalaya jaye
    jisme insan insan banke rahe aa, aur gulshan ko gulshan banaya jaye
    o aaj majhab koyee........

    aa jisase badhakar koyee kitab nahee, are jiska milta koyee jawab nahee
    umrr bhar chadh kar jo nahee utare, woh nasha hai magar sharab nahee
    use pyar jamana kehta hai, uska divana rehta hai
    yeh aisa hai rangin nasha, yeh jitna chadhe utna hee maja
    hontho pe gulab yahee toh hai, aankho me khwab yahee toh hai
    galo pe shabab yahee toh hai, ghunghat me hijab yahee toh hai
    hontho pe gulab aankho me khwab, galo pe shabab ghunghat me hijab
    yahee toh hai - (4)
    isako paya mira ne, isako hi gaya kabira ne
    o har ruh kee aawaj hai yeh, sabse sundar sajh hai yeh
    jis se roshan padosee kaa aangan rahe, woh diya har ghar me jalaya jaye
    jisme insan...........

    aa yeh chav bhee hai aur dhup bhee hai, rup bhee hai aur anup bhee hai
    yeh shabnam bhee angar bhee hai, yeh megh bhee hai malhar bhee hai
    are isame duneeya kee javanee hai, yeh aag key bhitar panee hai
    yeh ruh kaa ek sarovar hai, katare me ek samandar hai
    shayar kaa hasin tasavvur hai, sangit kaa ek svayamvar hai
    yeh sabko sab kuchh deta hai, aur badle me badle me badle me
    bas dil leta hai dil leta hai, dil dil dil dil dil leta hai
    iska jo karam aaj ho jaye, toh yeh mehfil bhee jannat see ho jaye
    jisame insan........

    Related Lyrics