Aaja Tujhe Pyaar Kar Loon O Jaan-e-jaana Lyrics

Ehsaan (1970)- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Aaja Tujhe Pyaar Kar Loon O Jaan-e-jaana from movie Ehsaan (1970)

  

Lyrics

    • Movie Name : Ehsaan (1970)
    • Director(s) : R D Burman
    • Singer(s) : Kishore Kumar,Asha Bhosle
    • Lyricist(s) : 

    aaja tujhe pyaar kar loon o jaan-e-jaana
    tera mra kya karega sanam jamaana
    roke toh koyi hum daud ke milenge
    deewaar julm ki hum td ke milenge ta ra ra ra
    aaja tujhe pyaar kar loon o jaan-e-jaana
    tera mera kya karega sanam jamaana

    kal tak thi main jahaan ki magar, abb dulhan hoon main saiyaan teri
    abb jaaye praan chaahe jiya re na chhodungi main baiyaan teri
    abb tak toh chali hai jag mein deewaano ki matwaalon ki
    haq leke rahenge apana jai bolo re dilwaalon ki ta ra ra ra
    aaja tujhe pyaar kar loon o jaan-e-jaana
    tera mera kya karega sanam jamaana

    itana bhaari sheher toh hai magar, chhupkar milane ki jagah nahi
    waapas kyun hum chale wahaan jahaan ulfat karane ki jagah nahi
    yeh pyaar ki dushman basti basti se dur nikalake
    chaahe koi hamein kahe jangali jungle mein rahenge chalake
    aaja aaja aaja tujhe pyaar kar loon o jaan-e-jaana
    tera mera kya karega sanam jamaana

    pyaasa hoga agar kabhi sajan, ganga ban jaaungi tere liye
    bhuka hoga agar kabhi balam laddu ban jaaungi tere liye
    hai ek umar dono ki, ulfat mein rahenge khoye
    main teri bagal mein jaagu, tu mere bagal mein soye ta ra ra ra
    aaja tujhe pyaar kar loon o jaan-e-jaana
    tera mera kya karega sanam jamaana
    roke toh koyi hum daud ke milenge
    deewaar julm ki hum td ke milenge ta ra ra ra
    aaja tujhe pyaar kar loon o jaan-e-jaana
    tera mera kya karega sanam jamaana

    Related Lyrics