Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Gang

Saajan Mera Uss Paar Hai Lyrics

Gang- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Saajan Mera Uss Paar Hai from movie Gang

  

Lyrics

    • Movie Name : Gang
    • Director(s) : Anu Malik
    • Singer(s) : Lata Mangeshkar
    • Lyricist(s) : 

    saajan mera uss paar hai, milane ko dil bekaraar hai - (2)

    (mausam bhi aa pahuncha shehnaayi ka
    abb hamako dar kaisa tanhaayi ka) - (2)
    jivan ko jiska intjaar hai, aane hi waali woh bahaar hai - (2)
    saajan mera uss paar hai, milane ko dil bekaraar hai

    (jinaki chaahat mein akhiya tarasi hai
    jinase milane ko baraso barasi hai) - (2)
    honewaala unak deedaar hai, unako bhi mera intjaar hai - (2)
    saajan mera uss paar hai, milane ko dil bekaraar hai

    ghunghat mera jab uthaayenge, ik duje mein hum kho jaayenge - (2)
    kadamon mein unake hi sansaar hai, yeh toh janmo janmo ka pyaar hai -2
    saajan mera uss paar hai, milane ko dil bekaraar hai

    aa aa aa aa.......

    Related Lyrics