Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Ghulam

Jaadu Hai Tera Hi Jaadu Lyrics

Ghulam- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Jaadu Hai Tera Hi Jaadu from movie Ghulam

  

Lyrics

    • Movie Name : Ghulam
    • Director(s) : Jatin-Lalit
    • Singer(s) : Alka Yagnik,Kumar Sanu
    • Lyricist(s) : 

    (jaadu hai tera hi jaadu, jo mere dil pe chhane laga - (2)
    deewaane mere yeh toh bata kya kiya tune, mitha sa dard hone laga
    (yeh kya huwa, pehle na aisa hota tha
    main hoon kahaan main jaanu na) - (2)
    koi mujhe itana bata de, ghar ka mere mujhko pata de) - (2)

    maine toh yeh jaana na, hota hai kya intzaar
    mera dil kyun maane na, mujhko toh ho gaya hai pyaar
    main chain se pehle raaton ko soti thi, tune meri nindein luti - (2)
    yeh rog kya tune lagaaya, deewaanapan kaisa jagaaya
    jaadu hai tera hi jaadu, jo mere dil pe chhane laga
    o jaana meri yeh toh bata kya kiya tune, mitha sa dard hone laga
    (yeh kya huwa, pehle na aisa hota tha
    main hoon kahaan main jaanu na) - (2)
    koi mujhe itana bata de, ghar ka mere mujhko pata de

    jaaneman o jaaneja kya hai iraada bata
    chhune de in honton ko honton se mere jara
    (kya khoob hai main bhi kaisa deewaana tha
    kyun ishq se anjaana tha) - (2)
    paagal mujhe tune banaaya, chaahat hai kya mujhko bataaya
    jaadu hai tera hi jaadu, jo mere dil pe chhane laga - (2)
    deewaane mere yeh toh bata kya kiya tune, mitha sa dard hone laga
    (yeh kya huwa, pehle na aisa hota tha
    main hoon kahaan main jaanu na) - (2)
    koi mujhe itana bata de, ghar ka mere mujhko pata de

    Related Lyrics