Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Izzat (1968)

Kya Miliye Aise Logo Se Lyrics

Izzat (1968)- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Kya Miliye Aise Logo Se from movie Izzat (1968)

  

Lyrics

    • Movie Name : Izzat (1968)
    • Director(s) : Laxmikant-Pyarelal
    • Singer(s) : Mohammad Rafi
    • Lyricist(s) : 

    kya miliye.........

    (kya miliye aise logo se, jinakee fithrath chhupee rahe
    nakalee chehera samne aaye, asalee surath chhupee rahe) - (2)

    khud se bhee jo khud ko chupaye, kya unase pehchan kare
    kya unke daman se lipate, kya unaka samman kare
    jinakee aadhee niyath ubhare, aadhee niyath chhupee rahe
    nakalee chehera samne aaye, asalee surath chhupee rahe......

    dildaree kaa dong rachakar, jal bichaye baton kaa
    jitejee kaa rishta kehekar, sukh dunde kuchh rato kaa
    ruh kee hasrath labh par aaye, jism kee hasrath chhupee rahe
    nakalee chehera samne aaye, asalee surath chhupee rahe......

    jinke julm se dukhee hai janta, har bastee har ganv me
    daya dharam kee bat kare woh, bait ke sajhee sabhavo me
    dan kaa charcha ghar ghar pahunche, lut kee daulat chhupee rahe
    nakalee chehera samne aaye, asalee surath chhupee rahe........

    dekhen inn nakalee cheharo kee, kab tak jai jai kar chale
    ujale kapdo kee teh me, kab tak kala sansar chale
    kab tak logo kee najaro se, chhupee hakikat chhupee rahe
    nakalee chehera samne aaye, asalee surath chhupee rahe....

    kya miliye aise logo se, jinakee fithrath chhupee rahe
    nakalee chehera samne aaye, asalee surath chhupee rahe.......

    Related Lyrics