Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Kaash (1987)

Phool Yeh Kahaan Se Aaya Hai Bolu Lyrics

Kaash (1987)- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Phool Yeh Kahaan Se Aaya Hai Bolu from movie Kaash (1987)

  

Lyrics

    • Movie Name : Kaash (1987)
    • Director(s) : Rajesh Roshan
    • Singer(s) : Kishore Kumar,Sadhana Sargam
    • Lyricist(s) : 

    (phool yeh kahaan se aaya hai bolu, phal yeh kahaan se aaye hain bolu
    ped yeh kahaan se aaye hai
    o sun mere bete jahaan waale ne sab kuchh hai banaaya jaadu se
    kamaal hai daddy jahaan waale ne kya khub banaaya jaadu se) - (2)

    (paani hai nadi mein, nadi dariya mein, dariya saagar mein
    mitha mitha paani ban jaaye khaara jaake samundar mein) - (2)
    paani kaise bane khaara bolu, yeh kaun kare saara bolu
    hai kaam bada nyaara
    yeh sun mere bete jahaan waale ne sab kuchh hai chhupaaya jaadu se
    kamaal hai daddy jahaan waale ne kya khub chhupaaya jaadu se

    (rangonwaali titali pankhon waale panchhi achchhe lagate hai
    baag mein chaman mein sune sune ban mein udate phirate hain) - (2)
    yeh kaise udtae hain bolu, hawa mein rehate hai bolu
    yeh kyun nahi girate hai
    yeh sun mere bete jahaan waale ne sabako hai udaaya jaadu se
    kamaal hai daddy jahaan waale ne kya khub udaaya jaadu se

    (chaand aur suraj aasmaan pe rehkar kabhi na nilake saath
    din mein chamaka gol gol suraj, chaand ko bhaaye raat) - (2)
    yeh din kya hota hai bolu, yeh raat kya hoti haibolu
    yeh shaam kyun hoti hai
    yeh sun mere bete jahaan waale ne sab kuchh hai rachaaya jaadu se
    kamaal hai daddy jahaan waale ne kya khub rachaaya jaadu se
    phool yeh kahaan se aaya hai bolu, phal yeh kahaan se aaye hain bolu
    ped yeh kahaan se aaye hai

    Related Lyrics