Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Gang

Tora Mann Bada Paapi Saawariya Re Lyrics

Gang- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Tora Mann Bada Paapi Saawariya Re from movie Gang

  

Lyrics

    • Movie Name : Gang
    • Director(s) : Naushad
    • Singer(s) : Asha Bhosle
    • Lyricist(s) : 

    haan matlab ka tu meet bedardi, garaj ki raakhe preet
    dukhiya mann ko ghaayal karana, samajhe tu apani jeet aa aa aa....

    tora mann bada paapi saawariya re - (2)
    milaaye chhalbal se najariya re - (2)
    tora mann bada paapi saawariya re

    tu sangdil hai teri jindagi mein pyaar nahi
    tere chaman mein hai sab kuchh magar bahaar nahi
    tujhe kasam hai na yuun muskuraake dekh hamein
    teri najar ka bhi jaalim kuchh aitbaar nahi
    milaaye chhalbal se najariya re - (2)
    tora mann bada paapi saawariya re

    sitamgaron ki inaayat se berukhi achchhi
    jo tere saath na gujare woh jindagi achchhi
    garaj ka yaar hai matlab ka tu hai deewaana
    na teri dosti achchhi na dushmani achchhi
    milaaye chhalbal se najariya re - (2)
    tora mann bada paapi saawariya re

    jahaan mein woh jise jina woh tujhase dur rahe
    jo marana chaahe woh aakar tere hujur rahe
    yeh kya gajab hai ke hum aah karke ho badnaam
    tu laakh julm kare phir bhi bekusur rahe
    milaaye chhalbal se najariya re - (2)
    tora mann bada paapi saawariya re
    tora mann bada paapi -3 saawariya re

    Related Lyrics