Brindaavan Ka Krishna Kanhaiya Lyrics

Miss Mary - 1957- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Brindaavan Ka Krishna Kanhaiya from movie Miss Mary - 1957

  

Lyrics

    • Movie Name : Miss Mary - 1957
    • Director(s) : Hemant Kumar
    • Singer(s) : Lata Mangeshkar,Mohammad Rafi
    • Lyricist(s) : 

    brindaavan ka krishna kanhaiya, sab ki aankhon ka taara - (2)
    man hi man kyun jale raadhika, mohan toh hai sabka pyaara - (2)
    brindaavan ka krishna kanhaiya, sab ki aankhon ka taara

    jamana tat [par nand ka laala jab jab raas rachaaye re -2
    tan mann dole kaanha aisi bansi madhur bajaaye re
    sudh budh bhuli khadi gopiya jaane kaisa jaadu daara
    brindaavan ka krishna kanhaiya, sab ki aankhon ka taara

    rang salon aisa jaise chhaayi ho ghat saawan ki -2
    teri main toh huyi deewaani man mohan man bhaavan ki
    tere kaaran dekh saaware chhod diya maine jag saara
    brindaavan ka krishna kanhaiya, sab ki aankhon ka taara
    man hi man kyun jale raadhika, mohan toh hai sabka pyaara
    brindaavan ka krishna kanhaiya, sab ki aankhon ka taara

    Related Lyrics