Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Narsi Bhagat

Darashan Do Ghanshyaam Naath Moree Lyrics

Narsi Bhagat- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Darashan Do Ghanshyaam Naath Moree from movie Narsi Bhagat

  

Lyrics

    • Movie Name : Narsi Bhagat
    • Director(s) : Ravi
    • Singer(s) : Hemant Kumar,Manna Dey,Sudha Malhotra
    • Lyricist(s) : 

    darashan do ghanshyaam naath moree, ankhiya pyaasee re
    mann mandir kee jyotee jagado, ghat ghat baasee re

    mandir mandir murat teree, phir bhee naa dikhe surat teree
    yug bite naa aai milan kee, puranamaasee re

    dwaar daya kaa jab too khole, pancham sur me gunga bole
    andha dekhe langada chaal kar, pahunche kaasee re

    paanee pee kar pyaas bujhaau, nainon ko kaise samajhaau
    aankh michaulee chhodo abb, mann ke baasee re

    nibarl ke bal dhan nidharn ke, tum rakhwale bhaktjano ke
    tere bhajan me sab sukh paau, mite udaasee re

    nam jape par tujhe naa jaane, unako bhee too apana maane
    teree daya kaa ant nahee hai, he dukh nashee re

    aaj phaisala tere dwaar par, meree jit hai teree har par
    har jit hai teree mai toh, charan upasee re

    dwar khada kab se matavala, mange tum se har tumharee
    narasee kee yeh binatee sunalo, bhakt vilaasee re

    laj naa lut jaye prabhu teree, nath karo naa daya me deree
    tin lok chhod kar aao, ganga nivaasee re

    Related Lyrics