Halka Suroor Mukammal Lyrics

Yeh Jo Halka Halka Suroor- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Halka Suroor Mukammal from movie Yeh Jo Halka Halka Suroor

  

Lyrics

    • Movie Name : Yeh Jo Halka Halka Suroor
    • Director(s) : 
    • Singer(s) : Nusrat Fateh Ali Khan
    • Lyricist(s) : 

    Saaqii Ki Har Nigaah Pe Bal Khaa Ke Pee Gayaa
    laharon Se Khelataa Huaa Lahraa Ke Pee Gayaa

    ai Rahmat-e-tamaam Meri Har Khata Muaaf
    main Intehaa-e-shauq Mein Ghabraa Ke Pee Gaya

    peetaa Beghair Izn Ye Kab Thii Meri Majaal
    dar-pardaa Chashm-e-yaar Kii Shah Paa Ke Pee Gayaa

    zaahid Ye Merii Shokhi-e-rindaana Dekhnaa
    rahmat Ko Baaton Baaton Mein Bahlaa Ke Pee Gayaa

    oodi Oodi Ghataein Aati Hain
    mutribon Ki Nawaein Aati Hain

    kis Ke Gesu Khule Hain Saawan Mein
    mehki Mehki Hawaein Aati Hain

    aao Sehn-e-chaman Mein Raqs Karein
    saaz Lekar Ghatein Aati Hain

    dekh Kar Unki Ankhadion Ko Adam
    maikadon Ko Hawaein Aati Hain

    paas Rehta Hai Duur Rehta Hai
    koi Dil Mein Zaroor Rehta Hai

    jab Se Dekha Hai Unki Aaknhon Ko
    halka Halka Suroor Rehta Hai

    aise Rehte Hain Wo Mere Dil Mein
    jaise Zulmat Mein Noor Rehta Hai

    ab Adam Ka Wo Haal Hai Har Qadam
    mast Rehta Hai Choor Rehta Hai

    ye Jo Halka Halka Suroor Hai
    ye Teri Nazar Ka Qusoor Hai
    ke Sharaab Peena Sikha Dia

    tere Pyaar Ne Teri Chaah Ne
    teri Behki Behki Nigaah Ne
    mujhe Ek Sharaabi Bana Dia

    sharaab Kaisi Khumaar Kaisa
    ye Sab Tumhari Nawazishein Hain
    pilayi Hai Kis Nazar Se Tuune
    ke Mujhko Apni Khabar Nahin Hai

    saara Jahaan Mast Jahaan Ka Nizaam Mast
    din Mast Raat Mast Sahar Mast Shaam Mast
    mast Sheesha Mast Suboo Mast Jaam Mast
    hai Teri Chashm-e-mast Se Har Khaas-o-aam Mast


    ye Jo Saqi Har Tarah Ki Tere Maikhaane Mein Hai
    wo Bhi Thodi Si Jo In Aankhon Ke Paimaane Mein Hai

    sab Samajhta Hun Teri Ish (??) Nazar Ai Saqi
    kaam Karti Hai Nazar Naam Hai Paimaane Ka

    tera Pyaar Hai Bas Meri Zindagi

    na Namaz Aati Hai Mujhko Na Wuzoo Aata Hai
    sajdaa Kar Leta Hun Jab Saamne Too Aata Hai

    main Azal Se Bandaa-e-ishq Hun
    mujhe Zuhd-o-kufr Ka Gham Nahin
    mere Sar Ko Dar Tera Mil Gaya
    mujhe Ab Talash-e-haram Nahin

    meri Bandagi Hai Wo Bandagi
    jo Ba Qaid-e-dair-o-haram Nahin
    mera Ik Nazar Tumhein Dekhna
    baa Khuda Namaz Se Kam Nahin

    tera Pyaar Hai Bas Meri Zindagi

    qayamat Mein Tera Dagh-e-muhabbat Lekar Uthuunga
    teri Tasveer Us Dam Bhi Kaleje Se Lagi Hogi

    kyunki

    tera Pyaar Hai Bas Meri Zindagi

    teri Yaad Hai Meri Bandagi
    jo Teri Khushi Wo Meri Khushi
    ye Mere Junoon Ka Hai Moajzaa
    jahan Apne Sar Ko Jhuka Dia
    wahan Maine Kaaba Bana Dia

    mere Baad Kisko Sataaoge ??

    dil Jalon Se Dil Lagi Acchi Nahin
    rone Walon Se Hansi Acchi Nahin
    dillagi Hi Dillagi Mein Dil Gaya

    oh Mere Dil Gaya Dil Gaya Dil Gaya

    khuda Ke Liye Apni Nazron Ko Roko Warna
    mera Dil Gaya Dil Gaya Dil Gaya

    meri Tarah Khuda Kare Tera Bhi Kisi Per Aaye Dil
    too Bhi Kaleja Thaam Ke Kehta Phire Ke Haye Dil

    mera Dil Gaya Dil Gaya Dil Gaya

    dillagi Hi Dillagi Mein Dil Gaya
    dil Lagaane Ka Nateeja Mil Gaya
    main To Rota Hun Ke Mera Dil Gaya
    tum Kyun Hanste Ho Tumhein Kya Mil Gaya ??

    accha Phir.....

    mere Baad Kisko Sataaoge ??
    mujhe Kis Tarah Se Mitaaoge
    kahan Jaa Kar Teer Chalaoge
    meri Dosti Ki Balayein Lo
    mujhe Hath Utha Kar Duaayein Do
    tumhein Ek Qaatil Bana Dia

    mujhe Dekho Khwaish-e-jaan-e-jaan
    main Wahi Hun Anwar-e-neem Jaan
    tumhein Itna Hosh Tha Jab Kahaan
    na Chalao Is Tarah Tum Zubaan
    karo Mera Shukria Meherbaan
    tumhein Baat Karna Sikha Dia

    ye Jo Halka Halka Suroor Hai
    ye Teri Nazar Ka Qusoor Hai
    ke Sharaab Peena Sikha Dia

    Related Lyrics