Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1011 - 1020 of 3592, Page 102 of 360 pages.


Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono
Na mai tum se ummed rakhon dil nawazi ki
Na tum dekho mujhe galat andaz nazron se
Na mere dil ki dhadkan badhe teri baton se
Na zaaher ho teri kashmaksh ka raaz ankhon se
Tumhain bhi koi uljhan rokti hai pesh qadmi se
Mujhe bhi log kahete hai ke ye jalwe paraye hain
Mere humrah bhi ruswaien hain meri marzi ki
Tumhare sath bhi guzri huwi raton ke saye hain
Mere sath bhi guzre huwe zaqmon ke saye hain
Ta’arrfu rog banjaye to uska bholna bahetar
Ta’alluq boj ban jaye to uska tudna bahetar
Wo afsana jise anjam tak lana na mumkin ho
Use ek qobsurat mod dekar chodna bahetar
Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono.

 0 People liked it
0 Ratings


Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal,
Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam Zara Aashista Chal,
Tere Milne Aur Phir Tere Bichhad Jane Ke Bich,
Faasla Ruswai Ka Hai Zara Aahista Chal,
Apne Dil Hi Mein Nahi Hai Uski Mehrumi Ki Yaad,
Uski Aankhon Mein Bhi Hai Shabnam Zara Aahista Chal,
Koi Hi Ho Humsafar Na Ho Khush Is Qadar,
Ab Ke Logon Mein Wafa Hai Kam Zara Aahista Chal..

 0 People liked it
0 Ratings


Badi muddat se lagaye baithe hai hum teri aas
Seene mai chupaye baithe hai tujh se milne ki pyas.
Kaun sa hoga wo khus naseeb din..
Jab aayenge tum hamare pass.
Ek pal ke liye hi aa jao .
Tarasti hui meri aankhon ki pyas bujha jao
Tum kaha karte the nahi ho paunga juda
ek pal ke liye jane jigar
Kiyon chale gaye Chhodkar
Hum to bhatak rahe hai idhar udhar
Tumhari yaad ka aalam yeh hai..
Raat ki tanhai hai aur har taraf teri parchhai hai
Jana tha chhodkar to pyar kiya hi kyon tha
is mere khali dil mai pyar bhara hi kyon tha.
Teri yaad mai Ghut-Ghut kar mar rahe hai sanam
>Aa ja laut kar pardesh se
too..
Nahi aaya too ho jayenge kisi aur ke fir hum.
Mat kehna bewafa aur na dena bewafai ka naam
Too bata de kab tak rakhon chupa kar
mere seene mai tera naam..

 0 People liked it
0 Ratings


Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai
Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai
Jab bhi tere sehar se nikalna chaha
Yaadoon ke beej bone lagti hai Tanhai
Raat ke kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai
Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai

 0 People liked it
0 Ratings

“Abhi kuch dooriyan to kuch faasle baaki hai.

Pal pal simatati shaam se kuch roshni baaki hai..

Hame yakin hai woh dekha hua kal aayega zaroor..

Abhi woh hosle to woh ummedein baaki hai.”.

 0 People liked it
0 Ratings

Har Saance Sulaj Rahi Thi Uljhanay Ko Tum Aagaye
Jo Aag Bujh Rahi Thi Bharkanay Ko Tum Aagaye
Har Qadam Har Jaga Hai Kathin Rasta Jeenay Ka Hosla Dard Ka Silsila
Sance Azab Hai Jeena Duswar Hai
Ehlay Dil K Liye Mout Tyar Hai
Mar Mar K Jee Raha Hon Azmanay Tum Aagaye
Main Kab Ka Kho Chuka Ho Batanay Tum Aagaye
Koi Kehta Yahan Zindagi Saj Gaye
Koi Kehta Wahan Zindagi Mit Gaye
Ek Tamanna Yahan
Ek Tamanna Wahanek Bharosa Yahan Aur Nafrat Wahan
Har Zakhm Khil Raha Tha Dil Jalanay Tum Aagaye
Raste Pe Main Chal Raha Tha Bekhanay Tum Aagaye
Har Saance Sulaj Rahi Thi Uljhanay Ko Tum Aagaye
Jo Aag Bujh Rahi Thi Bharkanay Ko Tum Aagaye

 0 People liked it
0 Ratings


Ae zindagi yu mujse Daga na kar
me zinda rahu Bin uske ye dua na kar
koi dekta he use to hoti he jalan
Ae Hawa tu B use chuva na kar.

 0 People liked it
0 Ratings


Woh Poochta hi raha har falsafe ke mayne
Zindagiii bahut samajhdar hai,
Sab kuch loot liye us katil nigah ne,
Aastin uski abhi bhi be daag hai..

 0 People liked it
0 Ratings
Showing Hindi Shayari 1011 - 1020 of 3592, Page 102 of 360 pages.