Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1181 - 1190 of 3592, Page 119 of 360 pages.


Aawara Hawaaon Mein Udhtaa Ek Aawara Baadal Hoon Main
Khud Chain Hoon Apne Dil Ka Aur Khud Hi Dil Ki Halchal Hoon Main
Main Ne Hi Hasaaya Hai Dil Ko, Jab Jab Tha Udaasi Ka Aalam
Royaa Hoon Lipat Kar Khud Se Hi, Ek Bheega Sa Aanchal Hoon Main
Kal, Aaj Aur Kal Ko Yoon Main Ne Seeney Se Lagaa Kar Rakha Hai
Khud Aaney Waala Waqt Hoon Aur Khud Guzraa Hua Har Pal Hoon Main
Aa Mujh Ko Sajaa Le Honton Par Naghmaa Hoon Teri Har Dhadkan Ka
Aa Phir Se Basaa Le Aankhon Mein Teri Aankhon Ka Kajal Hoon Main
Tu Laakh Sitam Dhaata Hai Aur Shikwaa Bhi Nahin Hai Kyon Mujhko
Haan Tera Hoon Deewaana Aur, Haan Tere Liye Paagal Hoon Main
Aaya Hoon Jahaan Se Jaana Hai Phir Laut Wahin Ek Din “Nauman”
Bas Naam Ko Aawara Hoon Aur Bas Naam Ka Ek Baadal Hoon Main

 0 People liked it
0 Ratings


Pariyon si sundar hai mahboob meri,
Pakar use khud par naaz karta hun.
Har janm me bas usi ka banana hai,
Ye elaan aaj sareaam karta hun.

 0 People liked it
0 Ratings


Tumhare santh gujare un lamho ki yaad
aaj fir in wadiyo me khich layi hai
najre bhi wahi hai najare bhi wahi hai
din bhi wahi hai raat bhi wahi hai
nhi ho to bus tum tumhe in wado un wafao ki kasam
bus ek bar ek lamhe ke liye chele aao
us ek pal me hum ta umr ji lenge .

 1 People liked it
0 Ratings


Romantic kaho ya Dard bhare kaho
Dard se hath na milate to or kya karte,
Gam ke aansoo na bahate to or kya karte.
Usne maangi thi humse roshni ki dua,
Hum khud ko na jalate to or kya karte.
———— ——— ——— ——— ——–
Haqikat jaan lo juda hone se pahle,
Meri sun lo apni suna ne se pahle.
Ye soch lena bhulane se pahle,
Bahut royi hein ye aankhen muskurane se pahle.
———— ——— ——— ——— ——–
Chahat wo nahi jo jaan deti hai,
Chahat wo nahi jo muskaan deti hai.
Ae dost chahat wo hai,
Jo pani mein gira aansoo pehchan leti hein.
———— ——— ——— ——— ——–
Bahut chaha usko jise hum pa na sake,
Khayalo me kisi or ko le na sake.
Usko dekh ke aansoo to ponch liye,
Lekin kisi or ko dekh ke muskura na sake.
———— ——— ——— ——— ———

 0 People liked it
0 Ratings


Raat ki seej khali khali hay
Dekh, woh suba hone wali hay!
Mere dil se teri nigahon tak
Dard ne rah kiya nikali hay!
Hay pare hade aasman se kiya?
Sab feza apni dekhi bhali hay
kah rahi hay chamak sitaron ki
Dard ki raat dhalne wali hay!
Jo na kahni thi baat, kah aye
Aur jo kahni thi woh chupa li hay
Aik taraf dil tha, aik taraf dunya
Hum ne donon se sezar mila li hay
Aankh walon k wasty, manzar
Aik rozan hay, aik jali hay!
Phir wohi aansoun ki barish hay
Phir wohi dil ki khushak sali hay!
phalti ja rahi hay kosey qazha
Dil pe kis ne nigah dali hay!!!

 0 People liked it
0 Ratings


Mere labo pe bewafa ka naam aa raha hai
Uss bewafa ka gar sitam yaad aa raha hai
Lao pyar ki jala ke tukde kar diye hai
Fir bhi dil ko uss pe pyar aa raha hai
Gar sikhva mai karu to meri tauhin hogi
Aankho me na aanshu hai dil rota ja raha hai
Mayus mujhko karke woh har pal hai hasti
Usko aaj dekho kitna hasna aa raha hai
Tanhai me kat rahi yeh uska hai tohfah
Pakar uska tohfah dil pal pal ro raha hai
Usne jo diya hai use kaise mai bhula du
Jo sapna dikhya usne ab yaad a raha hai
Uski meharbani hai jo maine yeh likha hai
“SAGAR” bewafai ko likhta ja raha hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Meri sari zindagi ko be-samar is ne kya
Umar meri thi magar us ko basar is ne kya
Sheher me wo motabir meri gawahi se hua
Phir mujhe is sheher me namotabir is ne kya
Meri wafayon ka agar sila hota
Phir na zindagi se hamay gila hota
Phir na kerte chaand ki justajoo hum
Agar woh shakhs hamay mila hota
Mila jo pehli mulaqaat me gulon ki tarah
Giya to phir nahi aaya gayee ruton ki tarah
Mujhay na torh hunarmand, butgari se bhi
Na tu taraash sakay ga mujhe buton ki tarah
Hum wahan bhi tujhay aankhon me liyai phirte hain
Phaink detay hain jahan ghum ko purana ker ke

 0 People liked it
0 Ratings


MUJHE AAJ BHI YAAD HAI WOH DIN..

mujhe aaj bhi yaad hai woh din..
jab hum pehli baar aap sai mile
aisa laga hum apni takdeer sai mile
humara woh metro station per aap ka intjaar karna
aap woh humare liye class bunk karna
mujhe aaj bhi yaad hai woh din..
aap ka woh 15 minute dair sai aana
aap ka woh muskura kar haath milana
aap ka woh muskurate hue kehna.hi
mujhe aaj bhi yaad hai woh din..
humara woh metro station per wahin baith jana
aap ka woh chapar-chapar karte rehna
humara woh chup-chap baithe rehna
mujhe aaj bhi yaad hai woh din..
ab to pata nahi kab ayega woh din
hum aap sai milenge jis din
kya aap ko yaad hai woh din..?
mujhe aaj bhi yaad hai woh din..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1181 - 1190 of 3592, Page 119 of 360 pages.