Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1931 - 1940 of 3592, Page 194 of 360 pages.

Maa-Baap ka Saath har Pal Nibhati hai Betiyan.
Ghar mai Khushali Har Pal Lati hai Betiyan.
Tamaam Pareshaniya Jhel Kar
Khush Rahti hai Betiyan.
Ghar mai Ujala na Ho Agar na Betiyan.
Raunak Gharao Ki Har Pal Badati hai Betiyan.
Wo Ghar nahi Veerana Hai,
Jismain na ho Betiyan
Naseeb Bhi Buland hote hai Unke,
Hoti hai Jinki Betiyan.
Keh-Kahon se har pal gunjta hai Aasiyana
Khamosiyon ko Door bhagati hai Betiyan.
Maa-Baap ki Sari Khushiyan Chin jati hai Ae “Arif ”
Rukhsat Jis Roz Ghar se, Hoti hai betiyan.

 0 People liked it
0 Ratings


Kuch Is Adaa Se Aaj Wo..
Kuch is adaa se aaj wo pehloo nasheen rahey
Jub tk hamarey pass rahey hum nahi rahey
Ya RABB kisi k raaz-e-muhabbat ki kheir ho
Dast-e-junoon rahey na rahey aasteen rahey
Dard-e-Gham-e-Firaaq k ye sakht marhley
Heiran hoon main k phir bhi tum itney haseen rahey
Ja aur koi zabt ki dunya talash kr
Ay ishq hum to ab terey qabil nahi rahey
Is ishq ki talaafi-e-mafaat dekhna
Roney ki hasratein hein jb aansoo nahi rahey.

 0 People liked it
0 Ratings


Mili hai saza mujhe unse dil lagane ki,
Nazar lag gayi hamare pyar ko zamane ki,
Kabr se nikle hue dono hath kehte hain,
Aarzoo reh gayi unko gale lagane ki.

 0 People liked it
0 Ratings

Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya Karte Hain
Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga

Tu Mila Hai To Ehsaas Hua Hai Mujhko
Ye Meri Umr Mohabbat Ke Liye Thodi Hai
Ik Zara Saagame Daura Ka Bhi Haq Hai Jispar
Maine Wo Saans Bhi Tere Liye Rakh Chodi Hai
Tujhpe Ho Jaaoonga Qurbaan Tujhe Chaoonga
Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga

Apne Jazbaat Mein Nagmaat Rachaane Ke Liye
Maine Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basaya Hai Tujhe
Main Tasavoor Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon
Maine Kimsat Ki Lakiron Se Churaaya Hai Tujhe
Pyaar Ka Ban Ke Nigehbaan Tujhe Chahoonga
Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga

 0 People liked it
0 Ratings


tumhari kami is dil ne mahsoos kar lee isee aur na tarpa.
Dil mein bas ja aur dildar ko na sata.

 0 People liked it
0 Ratings


Haasi Thami Hai In Aankhon Mein Nami Ki Tarah
Mehakti Thi Jo Gulshan Mein Kali Ki Tarah
Yun Toh Koi Aata Nahi Iss Viraan Chaman Mein
Yeh Kiski Parchai Hai Kuch Meri Hi Tarah
Yun Toh Dard Ka Rishta Bahot Gehra Hai
Par Yaadein Bhi Ek Kadwa Sach Hai Zindagi Ki Tarah
Woh Aaya Aur Chala Gaya Sab Kuch Lekar
Lipti Reh Gayi Rooh Badan Par Ajnabi Ki Tarah
Kise Dhundti Hai Iss Duniya-e-Dast Mein Tanha Nazar
Koi Saathi Ho Mera Bhi Iss Khamoshi Ki Tarah..

 0 People liked it
0 Ratings

Tumse Mil Kar Tumhe Bhulna Mushkil Hai Asaan Nahi
Deewane Dil Ko Samjhana,Mushkil Hai Asaan Nahi
Har Rasta,Har Manzar Ab To,Koi Fasana Lagta Hai
Jab Se Tum Aaye Ho,Sara Sheher Suhana Lagta Hai
Jaate Lumho Ka Ruk Jana
Mushkil Hai,Asaan Nahi
Jhukti Aankhein,Rukti Sansein,Dard Adhura Kehti Hai
Dil Ki Puri Batein Aksar Dil Ke Under Rehti Hai
Dil Ki Baat,Zubaan Par Lana
Mushkil Hai,Aansan Nahi
Jo Hum Chaahein Wo Tum Chaaho,Phir Bhi Kyu Ye Doori Hai?
Mil Kar Bhi Hum Mil Nahi Pate,Ye Kaisi Majboori Hai?
Rasmoo Ki Deewar Giraana Mushkil Hai,Aansan Nahi

 0 People liked it
0 Ratings


musaafir ke raste badalate rahe
muqaddar mein chalanaa thaa chalate rahe
koii phuul saa haath kaandhe pe thaa
mere paanv sholon pe chalate rahe
mere raaste mein ujaalaa rahaa
diye us kii aankhon ke jalate rahe
vo kyaa thaa jise ham ne Thukaraa diyaa
magar umr bhar haath malate rahe
muhabbat adaavat vafaa berukhii
kiraaye ke ghar the badalate rahe
sunaa hai unhen bhii havaa lag gaii
havaaon ke jo rukh badalate rahe
lipat ke charaagon se vo so gaye
jo phuulon pe karavat badalate rahe.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1931 - 1940 of 3592, Page 194 of 360 pages.