Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2711 - 2720 of 3592, Page 272 of 360 pages.


Kyu Rakhu Me Ab Apni Kalam Me Syahi,
Jab Koi Arman Iss Dil Me Machalta Hi Nahi,
Na Jaane Kyu Sabhi Shak Karte He Mujhpar,
Jab Ki Koi Sukha Phool Meri Kitab Me Milta Hi Nahi.
Kashish To Bahut He Mere Pyar Me,
Magar Kya Karu Jab Koi Pathar Dil Pighlta Hi Nahi.
Agar Khuda Mile To Usse Apna Pyar Maanglu,
Par Suna He Woh Bhi Marne Se Pehle Kissi Se Milta Hi Nahi.

 1 People liked it
0 Ratings


Door hain aapse to kuch gam nahi,
Door rehke bhulane wale hum nahi,
Roz mulaqat na ho to kya hua,
Aapki yaad aapki mulaqat se kam nahi.

 1 People liked it
0 Ratings


“Tere Bagair jindagi, kat to jayegee,
Tu hota to thodi khusiya, shayad ke saath hoti.
Gam ki ye raten, na galat hone ko hai taiyyar
Kandeele-sifat dil, khud ko jala baitha,
Bajme hakeeki dekh tujhe, dil machal gaya
Pahloo me koi hota, aankho me neend hoti.
Jab bhi mere wo paas raha, door hi raha
Baton me uske kash, thodi mithas hoti.
Chalte gaye ummeed me ke kat hi jayegi,
Ye kaisi rahgujar hai, kaisa dayar hai,
Har simt ek sannata sa chhaya hai, khauf hai,
En pagdandiyon pe kash ke, kuch to gubar hoti.
Tere nam se pahchane hai na-shifat ko log
Warna to bejuban bhi chahe ke, saakh hoti.”

 0 People liked it
0 Ratings


Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho
Mujhay Talash Hay Us Ki Jo Meray Jaisa Ho
Meray Khaluos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hay
Woh Koi Bhi Ho,Kahin Bhi Ho,Kaisa Bhi Ho
Jo Khuwab Denay Ko Qadir Ho Meri Aankhoon Ko
Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho
Meri Khatir Marney Ka Hosla Bhi Rakhta Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To
Muskra Kay Manayee, Woh Aisa Ho
Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sakey
Iradon Mein Woh Apney Chahtaoon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ke Tarha Gehrah Ho
Us Kay Pyar Ke Thandak Ho Meray Liyae Aise
Key Woh To Bilkul Aasman Kay Chand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaoon Main Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Sath Chalay Woh Aisa Hooo.!!!
Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Hooo.!!!

 0 People liked it
0 Ratings


Teri har nakami ko kamyabi me badal dunga,
Tere har sapno ko haqeekat me badal dunga,
Aye dost hum khuda se dua aisi karenge..
ki tere har gham ko khusi me badal denge..

 1 People liked it
0 Ratings


Aapki palko pe khawab rakh gaya koi,
Aapki saanson pe naam likh gaya koi!..
Chalo vaada hai aapse bhool jana hame,
Agar humse achha dost aapko mil gaya koi!!..

 0 People liked it
0 Ratings


Chiraagon ki roshni jab zara hili,
laga tumhari ek aahat si mili,
jaake dekha jab dar pe,
to phir wahi kafir hawa mili..
`
Teri ulfat ko kabhi nakam na hone denge
teri DOSTI ko kabhi badnam na hone dnge
meri zindagi me Suraj nikle na nikle
teri zindagi me kabhi sham hone na denge
`
Wafa Me Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai,
Woh Sach KaheNaKahe Aetabar Karna Hai.
Yeh TujhKo Jagte Rehne Ka Shauk KabSe Hua,
Mujhe Tau Khair Tera Intezaar Krna Hai.
`
Baad Marne K Mere Tum Jo Kahani Likhna
Kaise Barbaad Hui Meri Jawani Likhna.
Yeh Bhi Likhna K Mere Hont Hansi Ko Tarse,
Umer Bhar AnkhSe Behta Raha Pani Likhna.
`
Dard se dosti ho gayi yaaron,
Zindagi bedard ho gayi yaaron.
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Door tak roshni to ho gayi yaaron..
`
Dilo ko khridne wale hazar mil jayege,
aap ko daga dene wale bar-bar mil jayege,
milega na aapko hm jesa koi,
milne ko to dost beshumar mil jayege.
`
And this one my favourite:
Manzile bhi
uski thi, Rasta bhi uska tha. Ek main akela tha, Kafila bi uska tha..
Sath-Sath
chalne ki soch
bi uski thi, Fir raasta
badalne ka
faisla bhi uska tha.
Aaj kyo akela
hoon, Dil sawal karta hai, Log to uske the,
Kya KHUDA bhi uska tha..?

 0 People liked it
0 Ratings


kuch lamhe yaadein chhod jati hai,
khushi aur ranj ka ehsaa chhod jati hai,
apni hi najro mein gir jate hai hum is kadar,
najre milana un yaadon se ek chunoti ban jati hai,
sukun sa milta hai batan apne pyar bhare lamhoko
per kaap sa uthta hai dil,soch ker un halato ko.
koshish ker ke bhi kisi ko na samjha pata hu mai apne us raat ko,
chhodna na chaha tha maine us pyar bhare sath ko.
ab bahut ho gai baatein us yaar ki,khul ke batata hu mai raaj us raat ki,
ja rahe the hum safar pe rishto ke ek gaanth mein,
toot ke reh gaya woh rishta sard ki us raat mein.
kis tarh se pahal hui kuch samajh na mai paya,
na jane kis kalyug ke shaitaan ko maine apne andar paya.
ji to chaha ker lu puri ,barso purane khwaab ko,
ruk gay mai dekh ke bhole se uske shabab ko.
garam ho rahi thi saasein,pass hone ke uske ehssas se,
dil mera jhoom utha tha ,nikalti si khusboo uske saas se.
halchal si hone lagi thi ab humare jism mein,
do jane ek hue the us sunahri raat mein.
koshise karta raha mai paa lu apne pyar ko,
per man nahi sunta tha mere dil ke us pukaar ko.
yaar bhi taiyaar na thi,pura karne mein mere is khwab ko,
per shitaan andar ka mere sulgata raha us chah ko.
jada nahi per bahut kuch aisa hua us raat ko,
yaadein bana ke rakh li maine us ankahi si baat ko.
pakhwde bita diye maine,pane ke liye us husn ko,
per sharm thi un aankhon ko,addbhare us jism ko.
hua karti thi pahal kali ghata ke chhaw mein,
sharma gaya tha chand bhi dekh ker us raat ko,
bhatak sa gaya tha mai unkahe rishte ki talash mein.
na najar aata tha kuch bhi deewanepan  ke bhook mein.
behek sa gaya tha mai shaitan ki us bhook se.
dil ki baatein juba pe lane mein aati thi sharam,
yaad aa jati thi usko rishte wale sabhi karam.
na to uski pahal thi,hui bhi na baad mein,
mai hi tah jo de raha tha tha apne sapno ko anjaam mein.
ab judai ho rahi thi,baat bhi ho gai thi kam,
na to ab haya thi,pi raha tha mai woh gum
bicchad chuke the hum parwane bima pura kiye us khwaab ko,
ek adhuri kasak si thi pura karne ki us khwaab ko.
gujar gaya hai arsa ,baatein hue mere yaar se,
dekhanahi hai yaar ko maine abhi tak pyar se,
ban ke reh gaya hai rishta,ankahe ehsaas ka,
najre nahi mil payengi ab kabhi un aank se.
kash chal jata mai picche samay ke saath saath,
na suhani safar karta ,na janm hoti us unkahe se sath ki.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2711 - 2720 of 3592, Page 272 of 360 pages.