Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2881 - 2890 of 3592, Page 289 of 360 pages.


Rona bhi jo chahen to wo rone nahi deta
Wo shaks to palken bhi bhigone nahi deta
Wo roz rulata hai hame khwab me aakar
Sona bhi jo chahen to sone nahi deta,
Ye kis ke ishare pe umad aye hain baadal
Hai kaun jo barsat bhi hone nahi deta
Aata hai khayalon me mere kaun ye aksar,
Jo muzhko kisi aur ka hone nahi deta,
Ik shakhs hai aisa meri basti me abhi tak
Jo bojh akele muzhe done nahi deta,
Mai hoon ke bahaata hoon teri yaad me aansoo,
Tu hai ke ashkon ko pirone nahi deta,
Wo chehra ajab hai jise paakar mai abhi tak,
Khona bhi chahoon to khone nahi deta
Thame hue lahron kee husn-e-baag koi too,
Sahil ko samandar me doobone nahi deta..

 0 People liked it
0 Ratings


Maine JANNAT me bell bjayi ,
aawaz aayi kya chaciye ,
maine kaha kamyabi ,
khushi , lambi umar ,
Awaz aayi kiske liye ,
maine kaha SMS
padhne walo k liye .
Anjaan si mulaqaat
pehchaan ban gayi ,
do kadam tum chale ,
do kadam hum chale ,
or dosti ki raah kitni
Aasaan ban gayi .

 0 People liked it
0 Ratings


So gai hai dua hatheli par,
ik nazar ae khuda hatheli par,
woh bhi taqdeer se gurezan hai,
main bhi takta raha hatheli par,
de gaya umr bhar ke andhiyare,
aik bujhta diya hatheli par,
keh gaya kitni an kahi batain,
phool rakha hua hatheli par,
kho gaya mukhtalif lakeeron main,
jab bhi ansoo gira hatheli par,
zindai ke zaeef lamhon ko,
yun na sathi saja hatheli par,
daikh le khud bhi apni ankhon se,
apne rab ki ata hatheli par.
Spice Port

 0 People liked it
0 Ratings


Zindagi ke sitam sahte gaye
dil mein har zakhm sajate gaye
zindagi berukhi, bewafaa sahi
hum to mohabbat nibhate gaye
zindagi ki rakeebi zindagi hi jaane
hum to zindagi ka jashn manate gaye
dil mein har zakhm sajate gaye..
-Hitendra D.

 0 People liked it
0 Ratings


Aaj ki Raat toh Jee bhar ke mujhe rone de….
Na jaane kyun hame Aasu bahana nahi Aata…
Na jaane kyun Haal-E-Dil batana nahi Aata…
Kyun Saathi bichad jaate hai hameshaa …
Shayad hame hi saath nibhaana nahi Aata…

 0 People liked it
0 Ratings


Phir ek baar haazir hua hu is mehfil me ek naye sher ke
saath. Is sher me jinka jikr hai wo “Sona” hamara pahala aur akhiri
pyar, hamari jindagi hai. Ye sher humne us waqt likha tha jab hamari
bas kuchh hi mulaqaate hui thi. Hume shayari ke “grammer” ka koi
knowledge nahi hai. Humne to bas jo dil me aaya likh diya hai.
Tasweer Na Sahi Tasawwoor Hi Sahi
Kahi To Mere Paas Hai Tu “Sona”
Khushboo Ki Tarah Meri Saanso Me Hai Tu
Mere Aanewale Kal Ka Ehsaas Hai Tu “Sona”

 0 People liked it
0 Ratings


Kay Eid aye hai.
Qaatal hijaab kay pardoon ko kaat dallo,
Dikhlla do rukh ka nazara kay Eid aye hai.
Saara saal hum nay judai main guzaar hi dia,
Ab nahin ho ga guzaara kay Eid aye hai.
Hum to bhnwar-e-halaat main garq ho gay,
Koun day ga shaara kay Eid aye hai.
Tumhara kuch nahin jaye ga hamain qraar aaye ga,
Hans kay day do ishaara kay Eid aye hai.
Pichlay saal jsey tum nay jalla dalla tha,
Aao us basti main dobbara kay Eid aye hai.
Iss baar tabba sangeen ko zara narm rkhna,
Tukhra na daina khudara kay Eid aye hai.
Qadar shamah ki ashiq parwanay janain,
Nikla chaand aur taara kay Eid aye hai.
Bhool kar pichile tmaam ranjshain Nida,
Lay lo slaam humara kay Eid aye hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Gr yhi hai kismat meri to khud ko barbaad krke dekhte hain.
Ghar luta ke apna chal tujhe abaad krke dekhte hain.
Gr yhi hai naseeb mera ke guzre zindgi aah bharte bharte.
To aye rab tu is se siwa kya dega faryaad krke dekhte hain.
Yeh pyaar ishq mohabbat sab jhoote fasane hain.
Na ho yakeen to aao khud ko in bandishon se azaad krke dekhte hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2881 - 2890 of 3592, Page 289 of 360 pages.