Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3401 - 3410 of 3592, Page 341 of 360 pages.


Kitabon mein mere fasaane dhundhte hain
Nadaan hain, guzre zamane dhundhte hain
Jab woh the, talaash-e-zindagi bhi thi
Ab to maut ke thikane dhoondhte hain
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha
Aaj hue se diwane dhundhte hain
Musafir bekhabar hain teri aankhon se
Tere shahar me maykhane dhoondhte hain
Tujhe kya pata E-sitam dhaane wale
Tere diye zakhmon me pyar ke nazraane dhoondhte hain
nikal aate hain ashq hanste hanste
hum to rone ke bahane dhoondhte hain

 0 People liked it
0 Ratings


Tera pyar bhi aab mere liye kahar sa hai
Amrit bhi dogi mujhe wo bhi jahar sa hai
Teri ab koi ada nahi lubhati hai mujhe
Teri har ek chal khaufnak manjar sa hai
Jo bhi sama gaya tere pyar ki aagosh main
Chhin gayi jindgi uski kabhi aaya na hosh main
Tujhe pane ki khwahish pal rakhi thi kayi logo ne
Aaj wo har log yahan khamosh sa hai
Na jane aur kitne barbad honge tere nakhron se
Achha hai ab dur rahun tere lafro se..

 0 People liked it
0 Ratings


Mere jeene ke liye tera arman hi kafi hai,
Tir-e-talwar ki tujhe kya zaroorat-e-nazneen,
Qatl karne ke liye teri muskan hi kafi hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Sard Raaton Ki Tanhaai Mein..
Hum Teri Yaadon Ke Chirag Jalaye Bethe Hain,
Kabhi To Tum Zindagi Ki Haqeeqt Banogi,
Sochkar Palkon Mein Khwab Sajaye Bethe Hain!
Tumhare Saath Ke Lamhe Har Waqt Sata-te Hain,
Ab Tumhare Aane Ki Bus Aas Lagaye Bethe Hain,
Aankhon Mein Ashkon Ko Ab Rok Nahi Pate,
Ki Dil Ko Bilal Sambhale Huye Bethe Hain!
Kaash Tum Mere Dard-E-Dil Ko Samajh Paao,
Hum Jo Seene Mein Abhi Tak Dabaye Bethe Hain,
Par Woh Jo Humse Dard Bayaan Nahi Karte,
Rehkar Khamosh Konsa Raaz Chhipaye Bethe Hain!
Khushi Bhale Thodi Si Par Dene Ke Liye Shukriya,
Paigam Tere Bheje Huye Seene Se Lagaye Bethe Hain,
Hai Ek Tasveer Bhi Nighahon Mein Teri,
Bus Ab Usiko Mann Ki Murat Banaye Bethe Hain!
Tujhe Yaad Karna Teri Raah Takna Hurdum,
Sab Bhulakar Ab Yeh Ek Naya Kaam Liye Bethe Hain,
Janta Hon Tujhe Paane Ka Anjaam “E-NaaZ”,
Phir Bhi Hum Naadan Tumhi Se Dil Lagaye bethe Hain..!!
Syed Bilal

 0 People liked it
0 Ratings


Main ne har kanta
Teri rah ka palkon se chuna
Loog kahte hain
Main dushman houn tera
Tu ne suna
Jane kiya soch k har zulm
rawa rakha hay
Kiya main pathar houn jo
Qadmon main saja rakha hay
Main ne rakha hay faqat
Apni mohabbat ka bharam
Warna harjayi tere pyaar main
Kiya rakha hay
Bewafayi ka gila lab pe
Naheen laoun ga
Tu muqadar main naheen
Dil ko yeh samjhaon ga
Haal dil sunne ki shayad
Tujhye fursat na mile
Teri duniya se bohot
Duur chala jaoun ga
Yeh muqadar ka likha hay
Koy takraar naheen
Meri kismat main kaheen
Saya_e_diwaar naheen
Ab main tuj se bhi
Anayat ka talabgaar naheen
Yeh gunah sab se bara hay
K gunahgaar naheen..

 0 People liked it
0 Ratings


Main tumhara hoon yah bhulna mat
Mujhko itna kabhi rulana mat
Log kuchh aur hi samjh lenge
Koi dekhe to aana jana mat
Aadmi ki ajib fitrat hai
Kuchh wah bole to muskurana mat
Aur bhi din hai aajmaish ke
Hal apna abhi sunana mat
Raste aur bhi bahut honge
Sirf itne main toot jana mat
Kuchh to majuriyan bhi jan meri
Mujhko kah de abhi begana mat
Maine roka kab uss se Pyar na kar
Sirf dil se hame bhulana mat.

 0 People liked it
0 Ratings


teri aankhon se kaash koi ishara to hota,
kuch to meri jaan jeene ka sahara to hota,
tod dete hum har ek rasam zamane ki,
tune ek baar mohabbat se pukara to hota!!!!!!
——————–

 0 People liked it
0 Ratings


Yaad ne unki pagal banaya hai,
Humne khud kafan silaya hai.
Jalane se pahle dil ko nikal lena,
Kahi won na jal jaye jinko dil me basaya hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3401 - 3410 of 3592, Page 341 of 360 pages.