Tumhaari Palakon Ki Chilmano Mein Lyrics

Nakhuda (1981)- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Tumhaari Palakon Ki Chilmano Mein from movie Nakhuda (1981)

  

Lyrics

    • Movie Name : Nakhuda (1981)
    • Director(s) : Khaiyaam
    • Singer(s) : Lata Mangeshkar,Nitin Mukesh
    • Lyricist(s) : 

    hmm hmm hmm hmm.....
    la la la la la...

    tumhaari palakon ki chilmano mein
    yeh kya chhupa hai sitaare jaisa
    haseen hai yeh hamaare jaisa
    shareer hai yeh tumhaare jaisa
    tumhaare khaabon ke aayine mein
    yeh kya chhupa hai hamaare jaisa
    jawaan hai yeh hamaare jaisa
    haseen hai yeh tumhaare jaisa

    (tumhaari baahon mein chuupake hamane
    tumhi ko tumase chura liya hai) - (2)
    churaanewaale ke haath hamane
    jo kho diya tha woh paa liya hai
    tumhaare honto ki khaamoshi mein
    yeh kya chhupa hai ishaare jaisa
    haseen hai yeh hamaare jaisa
    shareer hai yeh tumhaare jaisa

    (naye musaafir ke kaun hai hum
    naye musaafir ko yeh bata do) - (2)
    woh tumase khud hi karega baatein
    kareeb aake ise jaga do
    tumhaari sharmili shokhiyo mein
    yeh kya chhupa hai sharaare jaisa
    tumhaare khaabon ke aayine mein
    yeh kya chhupa hai hamaare jaisa
    jawaan hai yeh hamaare jaisa
    haseen hai yeh tumhaare jaisa

    Related Lyrics