Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 161 - 170 of 1962, Page 17 of 197 pages.

Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai

 0 People liked it
0 Ratings


Jaan to kardi hamne watan ke naam par,
Shaan to kardi hamne watan ke naam par,
Kurbaaniyo se pai hai hamne aazaadi,
Hamara watan to laakho main ek hai,
Aan bhi kardi hamne watan ke naam par.

 0 People liked it
0 Ratings

Bebasi jurm hai hausala jurm hai
zindagi teri ik-ik ada jurm hai
ae sanam tere bare mein kuch soch kar
apne bare mein kuch sochana jurm hai
yad rakhana tujhe mera ek jurm tha
bhool jana tujhe dusara jurm hai
kya sitam hai ke tere hasin shehar mein
har taraf gaur se dekhana jurm hai
 

 0 People liked it
0 Ratings

Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha
Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi Dour Tha
Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na Thay
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na Thay
Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha
Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri
Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Laga
Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya
Zor-E- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga
Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayei
Ab Faraayez Se Tu Door Hone Laga
Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Bolney Laga
Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulane Laga
Teer Baton Ke Phir Tu Chalane Laga
Baat Baat Pe Un Se Tu Ladne Laga
Qayda Ek Naya Tu Phir Padnay Laga
Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha Ek Din
Abb Humara Guzara Nahin Tere Bin
Sun Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main Agaya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya
Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha
Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha
Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do
Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro
Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar
Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na Asar
Ek Din Baap Tera Chala Rooth Kar
Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar
Phir Woh Bhi Bas Kal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi
Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya
Ashk Ankhon Main Thay Woh Rawana Huwi
Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi
Ek Sukoon Us Ke Chehre Pe Chaaney Laga
Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney Laga
Muddatain Ho Gayi Aaj Booddha Hai Tu
Tooti Khatiya Pe Pada Bora Hai Tu
Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi
Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi
Dard Mein Tu Pukare Ke “O Meri Maa”
Tere Dam Se Hi Roshan The Dono Jahan
Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi
Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi
Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan Reh Gaya
Dhoondh Ab Zor Tera Kahan Reh Gaya
Tu Ahkaam-E-Rabbi Bhulata Raha
Apne Maan-Baap Ko Tu Satata Raha
Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo
Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga
Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin
Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi
Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe
Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par
Qadar Maa Baap Ki Gar Koi Jaan Le
Apni Jannat Ko Duniya Main Pehchan Le
Aur Leyta Rahe Woh Badaun Ki Dua
Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami Khuda
Yaad Rakhna Her Aulaad Is Baat Ko
Bhool Jana Na Rehmat Ki Barsat Ko

 0 People liked it
0 Ratings

Aankh se aankh milta hai koi
dil ko khinche liye jata hai koi
va-e-hairat ke bhari mahafil mein
mujh ko tanha nazar aata hai koi
chahiye khud pe yaqin-e-kamil
hausla kis ka badhata hai koi
sab karishmat-e-tasavvur hai “shakeel”
varana aata hai na jata hai koi.

 0 People liked it
0 Ratings

Safar Ko Jab Bhi Kisi Dastan Mein Rakhna
Kadam Yakeen Mein Manzil Gumaan Mein Rakhna

Ja Sath Hai Vahi Ghar Ka Naseeb Hai Lekin
Jo Kho Gaya Hai Use Bhi Makaan Mein Rakhna

Ja Dekhti Hain Nigahein Vahi Nahi Sab Kuch
Ye Ehtiyat Bhi Apne Byaan Mein Rakhna

Voh Ek Khwab Jo Chehra Kabhi Nahi Banta
Bana Ke Chaand Use Aasman Mein Rakhna

Chamkate Chand Sitaron Ka Kya Bharosa Hai
Zameen Ke Chaand Use Aasman Mein Rakhna

Sawal To Bina Mehnat Ke Hal Nahi Hote
Naseeb Ko Bhi Magar Imtihan Mein Rakhna

 0 People liked it
0 Ratings

Meri Guftagu Ke Har Andaaz Ko Samjhta Hai
Ek Wohi Hai Jo Mujpe Aitmaad Rakhta Hai…
Door Hoke Bhi Mujse Hai Wo Itna Kareeb…
Aisa Lagta Hai Mere Aas-Pass Rehta Hai…..

 0 People liked it
0 Ratings

Aankho Ko Phool Aur Hontho Ko Kamal Kahte Hain
Jaisi Mehfil Ho Waise Ghazal Kehte Hain
Are, Hum Mehfilo Me Jaya Nahi Karte
Jaha Hum Hote Hain Usi Ko Mehfil Kehte Hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 161 - 170 of 1962, Page 17 of 197 pages.