Shayari Category
- Zindagi Shayari(281)
- Romantic Shayari(238)
- Aansu Shayari(111)
- Random Shayari(1962)
- Zakham Shayari(73)
- Yaad Shayari(517)
- Valentine Shayari(39)
- Urdu Shayari(265)
- SMS Shayari(161)
- Sad Shayari(519)
- Sharaab Shayari(148)
- Pyar Shayari(413)
- Tanhai Shayari(134)
- Aankhen Shayari(243)
- Aitbaar Shayari(93)
- Phool Kaante Shayari(34)
- Nazar Shayari(136)
- Naseeb Qismat(61)
- Narazgi Roothna Shayari(51)
- Khushboo Shayari(29)
- Gham Shayari(73)
- Chand Sitare Shayari(115)
- Bhool Shayari(109)
- Arzoo Justajoo Shayari(62)
- Apnapan Shayari(56)
- Ajnabi Shayari(27)
- Punjabi Shayari(120)
- Mehfil Muhabbat Shayari(410)
- Love Shayari(564)
- Birthday Shayari(59)
- Chahat Shayari(65)
- Dard Shayari(708)
- Dhoka Shayari(19)
- Dosti Shayari(449)
- Diwali Shayari(40)
- Dua Shayari(153)
- Dil Shayari(523)
- Ehsaas Shayari(33)
- Eid Shayari(41)
- English Poetry Shayari(347)
Random Shayari
Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.
List of Random Shayari
Showing Random Shayari 951 - 960 of 1962, Page 96 of 197 pages.
Kaha Tha Na!
Mujhay Tum Iss Tarah Sootay Huay Matt Chor Ker Jana
Mujhay Bayshak Jaga Daina
Bata Daina
Muhabbat Ke Safar Main Saath Mairay Chal Nahin Saktay
Judai Main, Hijar Main Saath Mairay Jal Nahin Saktay
Tumhain Rasta Badalna Hai
Mairi Hadd Se Nikalna Hai
Tumhain Kis Baat Ka Derr Tha
Tumhain Jaanay Nahin Daiti?
Kahin Per Qaid Ker Laiti?
Array Pagal!
Muhabbat Kee Tabiyat Main Zaberdasti Nahin Hoti!
Jissay Rasta Badalna Ho
Ussay Rasta Badalnay Se
Jissay Hadd Se Nikalna Ho
Ussay Hadd Se Nikalnay Se
Na Koi Rok Paya Hai
Na Koi Rok Pai Ga
Tumhain Kiss Baat Ka Darr Tha
Mujahy Baishak Jaga Daitay
Tumhain Main Daikh Hee Laiti
Tumhain Koi Dua Daiti
Kam-Az-Kamm Yun Tu Na Hota
Mairay Saathi! Haqeeqat Hai
Tumharay Baad Khonnay Ke Liya Kuch Bhee Nahin Baaqi
Mager Khonnay Se Derti Hoon
MAIN AB SONAY SE DERTI HOON


Kis Desh Mein Ye Kafila-E-Waqt Ruka Hai
Aariz Ke Ujale Hain Na Julfon Ki Ghata Hai
Kuch Meri Nigaho Ke Tale Dhundh Bahut Hai
Kuch Jashan-E-Chiragan Se Andhera Bhi Badha Hai
Ae Shokh Ghazalo! Yahan Do Phool To Rakh Do
Is Kabr Mein Khwabida Mohabbat Ka Khuda Hai
Ab Aao Kaleje Se Lipatkar Mere So Jao
Bahar Kahan Jaoge Badi Sard Hawa Hai
Kuch Der Mein Saanso Ki Bhi Aahat Na Milegi
Dil Raat Ke Sannaate Mein Yoon Doob Raha Hai


Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Niya Kia Hai?
Har Taraf Khalq Nay Kiun Shor Macha Rakha Hai
Roshni Din Ki Wohi Taron Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Baat Wohi
Aasman Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai Zameen
Aik Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi
Aglay Barson Ki Tarah Hongay Qareenay Teray
Kisay Maloom Nahi Barah Mahinay Teray
Junuary, February Or March Mein Paray Sardee
Or April, May, June Mein Hogee Garmee
Tera Mun Dehar Mein Kuch Khoye Ga Kuch Paye Ga
Apni Miyad Basar Karkay Chala Jaye Ga
Tu Naya Hai To Dikha Subah Nayi, Shaam Nayi
Warna In Aankhon Nay Dekhay Hain Naye Saal Kayi
Be-Sabab Daitay Hain Kiun Log Mubarakbadain
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki Karwi Yaadain
Teri Aamad Say Ghati Umer, Jahan Mein Sub Ki
Faiz Nay Likhi Hai Yeh Nazam Niralay Dhab Ki.


Vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa
vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa
ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa
vo havaao.n kii tarah Khaanaa_bajaa.N phirataa hai
ek jho.nkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa
vo jab aayegaa to phir us kii


Aankhen mujhe talvon se wo malane nahi dete
arman mere dil ka nikalne nahi dete
khatir se teri yaad ko talane nahi dete
sach hai ki hamin dil ko sanbhalane nahi dete
kis naz se kahate hain wo jhunjhala ke shab-e-vasl
tum to hamen karavat bhi badalne nahi dete
paravanon ne fanus ko dekha to ye bole
kyon hum ko jalate ho ki jalne nahi dete
hairan hun kis tarah karun arz-e-tamanna
dushman ko to pahalu se wo talane nahi dete
dil wo hai ki fariyad se labrez hai har waqt
hum wo hain ki kuch muh se nikalne nahi dete
garmi-e-mohabbat mein wo hai aah se mane'
pankha nafas-e-sard ka jhalane nahi dete


Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phul Jhharte Hain
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Raat Use Chaand Taktaa Rahtaa Hai
Sitaare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain
(Baam-E-Falak : Terrace Of The Horizon)
Sunaa Hai Hashr Hain Us Kii Gazaal Si Aankhen
Sunaa Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Din Ko Use Titaliyaan Sataati Hain
Sunaa Hai Raat Ko Jugnuu Thaher Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Raat Se Barh Kar Hain Kaakulen Us Ki
Sunaa Hai Shaam Ko Saaye Guzar Ke Dekhte Hain
(Kaakul : Tresses)
Sunaa Hai Us Kii Siyaah Chashmagii Qayaamat Hai
So Us Ko Surmaafarosh Aah Bhar Ke Dekhte Hain
(Surmaafarosh : Kohl Vendors)
Sunaa Hai Us Ke Labon Se Gulaab Jalte Hain
So Ham Bahaar Par Ilzaam Dhar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Aa’inaa Tamsaal Hai Jabiin Uski
Jo Saadaa Dil Hain Ban Sanvar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Jab Se Hamaail Hain Us Ki Gardan Mein
Mizaaj Aur Hii Laal-O-Gauhar Ke Dekhte Hain
(Hamaail : Something To Wear Around The Neck)
Sunaa Hai Chashm-E-Tasavvur Se Dasht-E-Imkaan Men
Palang Zaave (?) Us Kii Kamar Ke Dekhte Hain
(Chashm-E-Tasavvur : Eyes Of Imagination)
Sunaa Hai Us Ke Badan Ke Taraash Aise Hain
Ke Phuul Apanii Qabaayen Katar Ke Dekhte Hain
(Qabaayen : Tunic)
Vo Sarv-Qad Hai Magar Be-Gul-E-Muraad Nahi
Ke Us Shajar Pe Shaguufe Samar Ke Dekhte Hain
(Sarv-Qad : Tall And Graceful; Shaguufe : Bud; Samar : Fruit)
Bas Ek Nigaah Se Lutataa Hai Qaafilaa Dil Ka
So Rah-Ravaan-E-Tamannaa Bhii Dar Ke Dekhte Hain
(Rah-Ravaa.N : Travellers)
Sunaa Hai Us Ke Shabistaan Se Muttasil Hai Bahisht
Makiin Udhar Ke Bhii Jalve Idhar Ke Dekhte Hain
(Shabistan : Bedroom; Muttasil : Near; Makiin : Tenant)
Ruke To Gardishen Us Kaa Tavaaf Karti Hain
Chale To Us Ko Zamaane Thaher Ke Dekhte Hain
(Gardish : Time)
Kise Nasib Ke Be-Pairahan Use Dekhe
Kabhii Kabhi Dar-O-Diivaar Ghar Ke Dekhte Hain
(Be-Pairahan : Without Clothes)
Kahaaniyaan Hi Sahi Sab Mubaalage Hi Sahii
Agar Vo Khvaab Hai Taabiir Kar Ke Dekhte Hain
(Mubaalage : Beyond One’s Limits)
Ab Us Ke Shahar Men Thaharen Ki Kuch Kar Jaayen
“Faraz†Aao Sitaare Safar Ke Dekhte Hain


Wada Na Karo Agar Tum Nibha Na Sako
Chaho Na Use Jise Tum Pa Na Sako
Dost To Dunia Me Bahut Hote Hain
Koi Aisa Bhi Ho Jiske Siva Muskura Na Sako


One homeless man said to the other homeless man,
â€I smell like a sewage dumps!â€
So, the other homeless man said,
â€A flash flood warning in affect in this area soon, I have a bar of anti-bacteria soap and a shrub brush you can used.â€


Showing Random Shayari 951 - 960 of 1962, Page 96 of 197 pages.
1234567891011121314151617181920212223242526272829303132333435363738394041424344454647484950515253545556575859606162636465666768697071727374757677787980818283848586878889909192939495979899100101102103104105106107108109110111112113114115116117118119120121122123124125126127128129130131132133134135136137138139140141142143144145146147148149150151152153154155156157158159160161162163164165166167168169170171172173174175176177178179180181182183184185186187188189190191192193194195196197
SMS Category
- Love sms ( 2300 )
- Friendship sms ( 2240 )
- Urdu and hindi sms ( 6787 )
- Funny sms ( 2240 )
- Sardarji sms ( 836 )
- Decent sms ( 898 )
- Hindi sms ( 2210 )
- Birthday sms ( 1065 )
- Quotes sms ( 2211 )
- Naughty sms ( 118 )
- Ascii sms ( 561 )
- Good morning sms ( 2058 )
- Good night sms ( 1507 )
- Missing you sms ( 412 )
- Festivals sms ( 2211 )
- Diwali sms ( 524 )
- Christmas sms ( 1219 )
- Islamic sms ( 1539 )
- Smile sms ( 341 )
- Fool sms ( 458 )
- Cool sms ( 301 )
- April fool sms ( 419 )
- Tongue twister sms ( 933 )
- Romantic sms ( 157 )
- Flirt sms ( 30 )
- Sms jokes ( 32 )
- Bewafa sms ( 49 )
- Nice sms ( 110 )
- Sorry sms ( 91 )
- Cute sms ( 102 )
- Sad sms ( 84 )
- Double meaning sms ( 55 )
- Nice day sms ( 188 )
- Valentine day sms ( 70 )
- Good afternoon sms ( 17 )
- Good evening sms ( 51 )
- Get well soon sms ( 33 )
- Good luck sms ( 122 )
- Relations sms ( 715 )
- Kiss sms ( 30 )