Zakham Shayari

Zakham Shayari - A large collection of Zakham Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Zakham Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Zakham Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Zakham Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Zakham Shayari

Showing Zakham Shayari 31 - 40 of 73, Page 4 of 8 pages.

Mujh Se Milne Ko Woh Kerta Thaa Bahane Kitne
Ab Guzare Ga Mere Saath Zamane Kitne
Main Giri Thi To Buhut Log Ruke Thay Lekin
Sochti Houn Mujhe Aaye Thay Uthaane Kitne
Jis Tarah Main Ne Tujhe Apna Bana Rakha Hai
Sochte Hongey Yehi Baat Na Jaane Kitne
Tum Naya Zakhm Lagao Tumhein Is Se Kya Hai
Bharne Wale Hain Abhee Zakhm Purane Kitne…

 0 People liked it
0 Ratings

Zakham Jab Mere Seene K Bhar Jayenge
Aansu B Moti Bankar Bikhar Jaeenge
Ye Mat Puchna Kis Kis Ne Dard Diya
Warna Kuch Apno Ke Bhi Chehre Utar Jayenge

 2 People liked it
0 Ratings

Ik na ik shamma andhere mein jalaye rakhiye
subah hone ko hai mahaul banaye rakhiye
jin ke hathon se hamen zakhm-e-nihan pahunche hain
wo bhi kahate hain ki zakhmon ko chupaye rakhiye
kon jane ki wo kis rah-guzar se guzri
har guzar-gah ko phoolon se sajaye rakhiye
daman-e-yar ke zinat na bane har aansu
apni palkon ke liye kuch to bachaye rakhiye

 0 People liked it
0 Ratings

Har Yaad Ko Youn Zakham Banatay Nahin Dil Ka,
Har Teer Ko Paivest Rug-E-Jaan Nahin Kertay,
Yeh Masla Ab Ahal-E-Mohabbat Ka Hai Apna,
Mertay Hain To Kuch Aap Pay Ahsaan Nahin Kertay,
Khat Layain Na Layain Tera Hum Naama Bron Ko,
Bus Daikhtay Rehtay Hain Paraishan Nahin Kartay,
Aisay Bhi Tou Rakhtay Nahin Khanjar Pay Gulo Ko,
Itna Bhi To Qatil Ko Pashaiman Nahin Kartay,
Kub Shamain Jalata Hai Shab-E-Mah Main Koi,
Tu Ayai Tou Ham Ghar Main Charaghan Nahin Kartay,
Logon Ko Guman Tuk Nahin Hota Hay Junoon Ka,
Hum Dil Ki Tarah Chaak-E-Garaiban Nahin Kertay,
Hum Tuj Kay Chalay Aatay Hain Yaaro Dar-E-Janan,
Ghalib Ki Tarah Minnat-E-Darban Nahin Kertay

 0 People liked it
0 Ratings

Phuulon Kii Aarazuu Men Bade Zakhm Khaaye Hain
Lekin Chaman Ke Khaar Bhii Ab Tak Paraaye Hain
Us Par Haraam Hai Gam-E-Dauraan Kii Talkhiyaan
Jisake Nasiib Men Terii Zulfon Ke Saaye Hain
[Haraam = Forbidden, Talkhiyaan = Bitterness]
Mahashar Men Le Gaii Thii Tabiyat Kii Saadagii
Lekin Bade Khuluus Se Ham Laut Aaye Hain
[Mahashar = Day Of Judgement/Place Of Commotion]
Aayaa Huun Yaad Baad-E-Fanaa Unako Bhii ‘Adam'
Kyaa Jald Mere Siikh Pe Imaan Laaye Hain
[Baad-E-Fanaa = After Death]

 0 People liked it
0 Ratings

Kuchh Aise Zakhm Bhi Ham Dil Pe Khaaye Baithe Hain
Jo Chaarasaazon Kii Zid Se Chhupaaye Baithe Hain
Na Jaane Kaun Saa Aansoo Kisii Se Kyaa Kah De
Ham Is Khayaal Se Nazrein Jhukaaye Baithe Hain
Na Khauf-E-Baad-E-Mukhaalif, Na Intezaar-E-Sahar
Ham Apne Ghar Ke Diye Khud Bujhaaye Baithe Hain
Hamaaraa Zauq Khudaa, Vaqt Kaa Mizaaj Jadaa
Ham Ek Goshe Mein Khud Ko Chhupaaye Baithe Hain
Hamare Dil Mein Hain Mahfooz Chand Taaj Mahal
Jinhein Ham Apnaa Muqaddar Banaaye Baithe Hain
Zamaanaa Dekhaa Hai Ham Ne Hamaari Qadr Karo
Ham Apnii Aankhon Mein Duniyaa Basaaye Baithe Hain
Ham Apni Zaat Se Ik ‘Ahd Hain Magar Iqbaal
Ham Apne Aap Ko Qisaa Bhulaaye Baithe Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Ek Din Mere Dil Ko Jalan Dey Gaya..
Zindagi Mujhe Jeene Ka Kafan Dey Gaya..
Lakhon Pholo Mai Se Ek Phol Chuna Humne..
Jo Kanton Se Gehri Chuban Dey Gaya..

 0 People liked it
0 Ratings

Jab Lage Zakhm To Qaatil Ko Duaa Dii Jaaye
Hai Yahii Rasm To Ye Rasm Uthaa Dii Jaaye
Tishnagii Kuchh To Bujhe Tishnaalab-E-Gam Kii
Ik Nadii Dard Ke Shaharon Men Bahaa Dii Jaaye
Dil Kaa Vo Haal Huaa Ai Gam-E-Dauraan Ke Tale
Jaise Ik Laash Chattaanon Men Dabaa Dii Jaaye
Ham Ne Insaanon Ke Dukh Dard Kaa Hal Dhuundh Liyaa
Kyaa Buraa Hai Jo Ye Afvaa Udaa Dii Jaaye
Ham Ko Guzarii Hu_Ii Sadiyaan To Na Pahachaanengii
Aane Vaale Kisii Lamhe Ko Sadaa Dii Jaaye
Phuul Ban Jaatii Hain Dahake Hue Sholon Kii Laven
Shart Ye Hai Ke Unhen Khuub Havaa Dii Jaaye
Kam Nahiin Nashe Men Jaade Kii Gulaabii Raaten
Aur Agar Terii Javaanii Bhii Milaa Dii Jaaye

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Zakham Shayari 31 - 40 of 73, Page 4 of 8 pages.